Reading Mode

Update 7

Amawashya ka din aa gaya tha , rat ke koi 9 baj rahe the , ganw me 9 baje lagbhag sabhi so jate hai , jamuna ne Ridhima ke darwaje par dastak di , aaj Ridhima ka dil subah se hi joro se dhadak raha tha , jamuna ne Ridhima koi kisi ko bhi ye bat na batane ka wachan liya tha ..

Ridhima apne maa aur bhai ko pahle hi sula chuki thi , wo bar bar aage hone wali ghatna ke bare me soch soch kar ghabra rahi thi ..

Lekin fir uske ankho me apne pita tara sing ka mrit sharir ghum jata , aur ajay ke sath hua wo hadasha …

“ajay badla jarur lega “ wo man hi man budbudai thi , wo nahi chahti thi ki jaisa haal uske pita ka hua waisa hi katleaam pure ganw me ho , usne apne dil ko majboot kiya 

“jo hoga dekha jayega lekin ganw walo ki raksha ke liye mujhe ye karna hi hoga , jamuna kaki ne to mujhe maa jaisa pyar diya hai wo mujhse koi galat kaam nahi karwa sakti “ usne fir se khud se bat ki 

Tabhi darwaje par dastak hui wo janti thi ki ye jamuna hi hai ..

Ridhima ne apne dil ko majboot kiya aur darwaja khola , jamuna ke hatho me ek beg tha 

“isme kya hai kaki “

“kuch jarurat ka saman hai beta , tu taiyar hai na “

“ha kaki “

Dono jangal  ki or nikal pade the 

“12 baje se pahle tak hame wanha tak pahuchna hoga jaldi chal “

Thodi hi dur jane par jamuna ne kaha ..

Dono ne apne kadamo ki raftaar ko dadha diya tha 

Karib ek ghante tak chalne ke bad unhe kuchh masale jalti hui dikhai di ..

“ham bas pahuchane wale hai “ janha jamuna uttejit ho rahi thi wahi Ridhima ke dil me ek anjaan sa dar baith raha tha , wo jangal ke itane ander kabhi nahi aayi thi ..

Jamuna ne Ridhima ka hath thama aur uske sath teji se aage ki or jane lagi ..

Thodi hi der me wo ek nadi ke kinare par khade hue the , masale jal rahi thi aur kuchh aourate ek jhund banaye baithi hui thi , Ridhima ne unhe dekha to uske chahre par ashchary chha gaya , usne kabhi itni khubsurt aourte nahi dekhi thi , sabhi lagbhag uske hi umra ki lag rahi thi , sabhi ne lal rang ki sadi pahn rahi thi , hotho lal the aur chahre me ek gajab ki aabha , sabhi ke bal khule hue the aur wo kamr tak aa rahe the , palti kamar aur uthe uthe nitambh unhe aur bhi khubsoorat bana rahe the ,,, jaise hi ye dono wanha pahuche sabhi ki najre Ridhima par tik gayi , kuchh der ke liye to Ridhima bhi unki khoobsurati me kho gayi thi ..

Unme ek Ridhima ke pas aayi , uske payal ki awaj se rat ka sannata bhang ho raha tha , chham chham ki awaj pure mahol me gunj uthi thi , uski wo patali kamar aur kamar ki wo lachak kisi ko bhi diwana bana de , uthe hue unnat vaksh blouse ko fadane ko taiyar dikh rahe the , madakta aur jawani ki jiti jagati murat thi wo ..

Us aourat ne aakar Ridhima ko uper se niche tak nihara , uski ankho me prashansha ke bhaw the ..

“kya roop hai , kya youwan hai , jawani to jaise iske ang ang se chhalak rahi hai , iska chahra kitna masoom hai “ us aourat ne Ridhima ko dekhte hue kaha , usne apne hatho se uske balo ko sahlaya 

“iske roop me to koi bhi shikari diwana ho jaye “ pichhe se aati hui ek dusari aourat bol uthi, aur sabhi khilkhila kar hans uthe 

“jamuna tune to nayab hira dhundh nikala hai tujhe iska inaam jarur milega , lekin kya ye ynha apni ikkha se aayi hai , kya iske pas chudail banne ki koi wajah hai , kya ye bali dene ko taiyar hogi ??”

Ek teesari aourat bol uthi 

“bilkul bikul  ye apni marji se hi ynha aayi hai , iske pas chudail banne ki sabse badi wajah hai jise koi thukura nahi sakta, ise ek shikari ka samna karna hai , aur ha ye bali dene ko taiyar hai “

Jamuna ki bat sunkar sabhi ke hotho me muskan aa gayi 

“tab to tum bilkul sahi ho .. chalo taiyari shuru ki jaaye “

Pahli wali ne Ridhima ka hath tham liya tha, Ridhima ne ek bar jamuna ki or dekha lekin jamuna ne apne ankho se hi unke sath jaane ki sahamati de di ..

Sabhi aourate milkar Ridhima ko us nadi ke paas le gayi , unhone ek ek karke Ridhima ke sabhi kapde khol diye , Ridhima ko aise to ye sab bahut hi ajib lag raha tha lekin use pata tha ki ager use chudail banna hai to ye sab karna bhi jaruri hai ..

Ridhima purn rup se nagn thi , jism par koi bhi wastra nahi tha use nadi ke pani me dubane ko kaha gaya , wo ab pure tarah se gili thi , jism ka har kataw jaise chikh chikh kar uske youwan ki gawahi de raha tha , dheere dheere karke sabhi aourate nagn hote chali gayi aur sabhi Ridhima ke sath hi us nadi me kud padi , thodi der bad hi sabhi nirvastra hi nadi se bahar nikali ..

Ridhima ko ek ped ke niche bitha diya gaya tha , jamuna ne apne sath laya har saman unhe de diya tha usme ek lal rang ki saree bhi thi , unhone Ridhima ka sringaar kiya aur use wo saree pahna di ..

Ab jamuna aur Ridhima ke alawa sabhi aourate nagn thi , wo Ridhima ko lekar ek dusare sthan me gayi janha kai masale jal rahi thi aur uska Prakash charo or fail raha tha , us drishy ko dekhkar ek bar Ridhima kaanp hi gayi ..

“Bhuwan kaka ??”

Uske muh se nikal gaya , Bhuwan jamuna ka pati tha aur Ridhima ke ghar me hi noukar tha , abhi wo purn rup se nanga bich me leta hua tha use charo or se un aourato ne gher rakha tha …

Bhuwan ne ek bar Ridhima ko dekha uske ankho me ansu aa gaye 

“kaki ye kya hai , ye kaka ko kya ho gaya hai “

Ridhima jamuna ko dekhne lagi , lekin usse pahle hi ek dusari aourat bol uthi 

“ye bali hai Ridhima “

Ridhima ki najar Bhuwan ke pas pade ek khanjar par gayi . Ridhima jaise samjh gayi thi ki use kya karna tha wo kaanp gayi ..

“nahi main ye nahi kar sakti “

Ridhima joro se chillayi ..

Lekin tab tak jamuna uske karib aa chuki thi 

“Ridhima , Ridhima … tum meri bat suno , ye adami nakara hai , iska is duniya me rahne ya na rahne se koi fark nahi padne wala , ganw ki bhalai aur takat ki prapti ke liye tumhe iski bali deni hogi “

Ridhima ko jaise apne kano par viswash hi nahi ho raha tha 

“aap ye sab kya bol rahi ho kaki , ye aapke pati hai “

Ridhima ki manodasha ab bhi waisi hi thi ,ankho me ashchary aur andsu dono hi aa gaye the, wo use nahi maar sakati thi jisne use bachpan se apni god me khilaya tha ,  lekin uski bat ko sunkar jamuna jarur hans padi 

“are kahe ka pati , sala khud to kai jagah muh marta firta hai aur aaj tak kabhi mere aag ko thanda nahi kar paya, ye kahe ka pati hua , wo to Sulabh tha jo mere jism ki aag ko bhujha deta tha , lekin ab to wo bhi jail me hai …”

Jamuna ki bat sunkar Ridhima buri tarah se chouk gayi 

“ye aap kya bak rahi ho kaki “ Ridhima ka chahra gusse se bhar gaya tha , jisse jamuna ko apni galti ka ahsaas hua 

“dekh beti mujhe galat mat samjhna lekin jism ki aag hoti hi aisi hai, Sulabh ko main devar manti thi lekin tha to wo mera asali pati .. main ek banjh hu warna abhi tak na jane mere kokh se Sulabh ke kitane bachcho ne janm le liya hota , aur ye, ye mujhe shadi karke laya jarur tha lekin khud sharab aur dusari bajaru aourato ke chakkar me fansa rahta , mujhe mara pita karta tha ,main ise kuchh na kahati to isne meri sharafat ka fayada uthaya …. Ek din jab isne mujhe bahut mara tha tab main rote hue jangal ki or bhag gayi , usi samay mujhe ek chudail mil gayi , main chudail nahi ban sakti thi kyoki isne mere koumarya ko bhang kar diya tha lekin us chudail ne mujhe ek chhoti si takat pradan kiya, usne kaha ki main kisi bhi ek mard ko apni or sada ke liye akarshit kar sakti hu aur wo mard mujhe har wo sukh dega jo main apne pati se chahti thi … lekin usne iske badle mujhse ek wachan bhi liya ki main ek ladki ko chudail banungi ..

Maine usi sakti se Sulabh ko apni or akarshit kar liya , wo us samay noujwan tha takatwar tha usne mere pati ke aatyacharo se mujhe chhudaya aur use dhamkaya jiske baad se ye mujhse darne lage the , aur maine apne sharirik sukh ke liye Sulabh ka upyog kiya, sulabh ne bhi mere karn kisi aur ladki se shadi nahi ki …

Main hamesha se sochati thi ki akhir kaise main apne wachan ko pura kar paungi kyoki chudail banne ke liye pahli bat to ladaki ka kuwara hona jaruri hota hai , fir uske pas ek maksad hona chahiye aur ladaki ki khud ki marji bhi honi chahiye … ye sab ek sath milna bahut muskil hota hai , lekin tumhare roop me mujhe ye wachan pura karne ka mouka mila …”

Jamuna ki bat sunkar Ridhima ka gussa satve Ashman par pahuch gaya usne khichkar jamuna ke galo me ek tamacha maar diya 

“maine aapko hamesha apni maa ki tarah mana aur aap aaisi nikali , aapne mera istmaal kiya , apne wachan ko pura karne ke liye aap apne pati ki bali dene ja rahi ho “

Ridhima ka chahra gusse se tamtama gaya tha 

“ye ladki rat 12 bajane wale hai ager tujhe chudail banna hi nahi tha to ynha aayi kyo ,aur tu kya use gali de rahi hai usne jo kiya apne wachan ko pura karne ke liye kiya lekin tu … tu to apni marji se ynha aayi hai na , aur is adami ke liye tu dhukhi ho rahi hai isne naa jane kitano ki jindagi barbad ki hai , yakin nahi aata to dekh “

Ek aourat uske paas aayi aur Ridhima ke mathe par hath rakh diya , Ridhima ke samne Bhuwan ki sari jivani chal padi thi , Bhuwan jitana achcha in logo ke liye tha utna asal me nahi tha , usne kai ladkiyo ka isi jangal me rape kiya tha , nashe ki halat me usne kuchh ko jaan se bhi maar diya tha , usne jamuna ko bhi behad hi pratadit kiya tha .. ye sab dekhane ke bad Ridhima ki ankhe lal ho chuki thi ..

“ab utha khanjar aur nikaal de iska dil, kha ja iske dil ko  “sabhi ek sath chilla uthe , 

“tu ise maregi to ise dard jarur hoga lekin ye mantra se bandha hua hai ye kuchh kar nahi payega “

Jamuna ne nafrat se kaha 

Ridhima par jaise koi nasha chad gaya tha , Bhuwan ka sab kiya karaya uske ankho ke samne tha uske kano me wo chikhe gunj rahi thi jo un ladkiyo ke the jinka Bhuwan ne akele ya apne dosto ke sath milkar balatkar kiya tha , ek ladki ka chahra Ridhima ke ankho ke samne bar bar ghumane laga wo usi ke ganw ki thi uski bachpan ki Saheli thi achank se wo kahi gayab ho gayi thi logo ne bahut khoja lekin wo nahi mili thi ..

Aaj use pata chala ki akhir uski us Saheli ke sath hua kya tha , uski chikh ab bhi Ridhima ke kano me gunj rahi thi , Ridhima ke samne wo drishya naach raha tha jab us ladki ko Bhuwan aur uske kuchh sharabi dost uthakar jangal ki or le gaye aur uske jism ko kutto ki tarah udhed diya , buri tarah se balatkar ke bad unhone use maarkar wahi gaad diya tha …

Ridhima Bhuwan ke paas pahuch chuki thi uske ankho me ab Bhuwan ke liye kewal nafrat hi narfart thi , usne khanjar utha liya ..

“ruko pahle us matke me rakhe sharab ko piyo “ ek aourat bol uthi , Ridhima ne apne hath ka khanjar joro se Bhuwan ke chhati me gada diya ,matke ko utha liya, Bhuwan chikha jarur lekin uske muh se koi chikh nahi nikali thi …

Ridhima ne puri sharab ek hi sans me pi li , ab sar ghum raha tha lekin wo nashe me nahi thi , gusse ki aag uske ankho se bahar aa rahi thi , sabhi aourato ne bhuwan ke charo or ek ghera bana liya tha sabhi ek dusare ke kandhe par hath rakhe hue naach rahi thi wahi jamuna us ghere se bahar khadi hui ye sab dekh rahi thi , uske ankho me bhi Ridhima ko dekhkar ek ashchary tha uske mathe par pasina anayas hi aa raha tha ..

Ridhima ne fir se apne khanjar ko uski chhati se nikaal liya aur fir jor lagakar uski chhati me gada diya , Bhuwan ki ankhe ab bhi us khofnaak manjar ko dekhne ke liye majboor thi wo ab bhi jinda tha, khoon bah raha tha dard se wo chhatpta raha tha lekin ankhe ab bhi khuli hui thi ..

Ridhima ne jor lagaya aur bhuwan ki chhati fatate gayi , Ridhima ne uske pure chhati ko chirkar uske dil ko nikaal liya , ab tak Bhuwan ki sanse tut chuki thi lekin mahol me khushi ka sanchaar ho gaya tha , sabhi aourate ajib hi aawaje nikaal rahi thi , us sune jangal me inki awaje achche achche ka mut nikaal de ,

Ridhima ke hatho me Bhuwan ka dil tha , abhi taja taja khoon se sana hua , Ridhima ki ankhe bhari ho rahi thi sharab ka nasha uske pure mastisk par chhane laga tha ..

“jaldi se kha le ise “ kisi ne chillaya aur Ridhima ne wo, ab bhi dhadakta hua dil apne muh me daal diya wo uske narm maas ko apne danto se chir rahi thi , wo use kisi bhukhe bachhe ki tarah kha rahi thi , Ridhima ke pure dant me khoon lag chuka tha muh se khoon ki dhaar bah rahi thi , ab uska nasha bhi thoda kam ho gaya tha use pata tha ki wo kya kar rahi hai , usne ek bar apne hatho me rakhe mans ke us lothade ko dekha ..

Uske jameer ne ek bar use roka ki ye manaw ka hriday hai , ye manaw ka taja mans hai , lekin agale hi pal use apne us Saheli ki yaad aayi .. 

Ridhima ko maksad mil gaya tha use takat chahiye thi aur ye uski kurbani thi apne masoomiyat ko usne kurban kiya tha..

Ridhima ne fir se us mans ke tukade ko apne muh me daal diya, kuchh der tak wo sab kuchh bhulakar use kachche taje mans ko khate rahi… jab usne antim tukda bhi kha liya to ek aourat ne uske samne fir se sharab ki matki rakh di , jab Ridhima us mataki se sharab pi rahi thi to uski ankho me ansu the …

Sar chakrane laga tha aur ankhe band hone lagi thi ……….

Aaj amavashya ki raat thi ,Yahi wo raat thi jab ajay apni chachi ke sath pahli bar apni hawas mita raha tha , aaj ek shikari jaag gaya tha aur ek chudail bhi …….

Please complete the required fields.