Update 5
Idhar sahanpur me tara sing ke jane ke bad se hi halat bigad rahe the ,log apne mukhiya ki mout ka matam mana hi rahe the ki Sulabh ne jo kiya usse pura sahanpur hi dahal gaya , ye niyam ke virudhdh tha , ghughar ke akhade ka faisala akhari hota tha lekin Sulabh ne is faisale ko naa maan kar niyam tod diya tha ..
Log isliye bhi dare hue the ki Sulabh ke is apradh ki saja kabhi unhe na bhugatni pade , iska karn tha aur iska karan tha ki logo tak ye bat pahuch chuki thi ki shikari baba ne ajay ko apni dawai se bachaya hai , iska matlab tha ki ajay ke paas ab takat ka khajana hoga , aur ager wo Sulabh ke apradh ka badla lene par tul gaya to use rokane wala koi bhi nahi hoga …
Ye kewal kahaniya hi thi ki shikariyo me jise bhi ye bimari lag jati hai wo jangalo me rahta hai , abhi tak koi aisa nahi tha jo ganw me rahe , jangalo me chudailo ki jaat bhi paai jati thi jo ki insano ke dil ko khane ke liye masahur thi , wahi chudail hi hoti thi jo shikariyo ki vasana ko shant kar paati lekin chudail hamesha hi shikariyo se bachkar rahti thi kyoki ager ek bar dono ka sambandh ban gaya to fir wo sada ke liye us shikari ki gulam bankar rah jati .. ek alag hi kism ka yudhha jangalo ke ander chal raha tha jisse samany insan dur hi rahte the ..
Lekin ab is bimari ko lekar ajay ganw me rahne aa raha tha is bat se sahanpur walo me ek alag hi khouf chha gaya tha , ek to ajay ke pita aur dono chacha ko jis tarah se Sulabh ne mara tha usse saaf tha ki kabhi na kabhi to iska badla lega , aur dusari or kisi shikari ne use apni jadibuti pila di thi jisse wo mout se to bach gaya aur sath hi sath ab takat ka bhandaar hone wala hai , ab ise koi rok sakta tha to kewal koi chudail … kyoki shikariyo ka mukabala kewal chudail hi kar sakte the , lekin fir us chudail ke liye bhi khatra kam na tha …
Wo khatra tha ki kahi wo shikari ke akarshan me naa fans jaaye aur ager wo shikari ke akarshan me fans kar sambhog kar baithe to fir wo chudail hamesha ke liye shikari ki gulam ban jaayegi ..
Bate ho rahi thi aur wahi Ridhima apne pariwar ko samhalne me lagi hui thi .
Ridhima ki maa mano pagal si ho gayi thi wahi ek chhota bhai tha jo ki abhi itna samjhdar nahi tha ki pure ganw ki bagdoud ko samhal sake , ek chacha the jo tara ke bad gddi ke hakdaar the lekin wo abhi jail me the , ab sara daramdaar Ridhima ke kandhe par hi aa gaya tha ..
Ek sham gughar ke Pradhan gajraaj Ridhima ke ghar aaye , jo abhi tak karyawahak pradhan ke roop me dono ganwo ke masalo ko samhal rahe the ..
“beti ab sabkuchh tumhe hi samhalna hoga , ajay ko bhi ab hosh aa gaya hai kuchh dino me wo ghar bhi aa jayega ,main ab tum dono ko tumhari jimmedari soup dena chahta hu “
Ridhima bas unki bat sun rahi thi ..
“kaka kya ye jimmedariya sarpanch kaka nahi utha sakte “
Ji ha in teeno ganwo me sarkari Pradhan sarpanch hi tha lekin asali mukhiya to wo 3 pariwar the jinki logo ke najar me ek ijjat thi , wo jise chunaw me khada kar de wahi sarpanch ban jata tha ..
In teeno pariwaro ke paas na jane kitani jameene thi aur dhan doulat se sabhi sampan the ..
“nahi beta , ye jimmedari to hamare purwajo se chali aa rahi hai , pariwar ka koi sadasya hi is gaddi ka gadadidar hota hai , tumhare pariwar me ab tum hi ho jo nayi mukhiya ban sakti ho “
“lekin kaka pura ganw dara hua hai ki kahi ajay apne pita aur chacha ke katl ka badala na le “
“nahi beta iski fikar mat karo ajay ko main samjhaunga uski maa samjhayegi , jo hua wo Sulabh ki galti thi na ki pure ganw ki , meri uske maa se bat ho gayi hai ganw walo ko darne ki koi bhi jarurat nahi hai “
“lekin kaka maine suna hai ki ajay ki jaan shikari baba ne bachaai hai aur ab use bhi shikari ki bimari lag gayi hai jiske bare me ham kewal kahaniyo me suna karte the “
Ridhima ki bat sunkar gajraaj hasane laga
“beta ye sab to kewal kahaniya hi hai “
“kya sach me ?? kya sach me shikari aur chudail ki kahaniya mahaj kahaniya hi hai “
Ridhima ne ghur kar gajraaj ko dekha , wo jaise Ridhima se najare chura raha tha
“bataiye kaka “
Ridhima ne jor diya
“mujhe nahi pata beta lekin mujhe itana jarur pata hai ki ajay ko Sulabh ne jis tarah se mara tha uska bachna namumkin tha lekin wo bach gaya , uski maa ne kaha ki kisi shikari ne use bachaya hai , ham jis shikari baba ke mandir me puja karte hai wahi sabhi shikariyo ke guru hai ,ham unki puja isliye karte hai kyoki unhone hi shikariyo ko ganw se dur rahne ka adhesh diya tha aur tab se koi shikari kabhi ganw me nahi aaya unka niwas jangal ke ander hai janha jane ki hame kabhi jarurat hi nahi padati , lekin ager ye sach hoga to fir ek badi musibat samne aa jaayegi , ajay ke ander shikariyo wali takat hogi jiska koi aam insan mukabala nahi kar sakta , aur shikari wali vasana bhi wo badhte hi jaaygi jab tak wo kisi chudail ke sampark me nahi aa jaye , sirf chudail hi aisi jaat hai jo ki shikariyo ko shant rakh sakti hai lekin fir shikari ke akarshan se bach pana unke liye bahut muskil ho jata hai aur ager …”
Wo itana hi bol kar chup ho gaye , Ridhima ne bhi haa me sar hila diya
“iska koi ilaaj hai kaka “
“pata nahi beta , kahte hai ki shikari khud hi iske ilaaj ke liye bhatakte rahte hai taki wo bhi aam jindagi ji sake “
Dono ne hi gahri sanse chhodi , lekin Ridhima ke man me kai tufaan ek sath mandra rahe the use ab bhi apne ganw walo ki aur apne pariwar ki chinta sata rahi thi ……..

