Reading Mode
Update 18

Andar jate hi bina kuch kahe silencer lage huwe revolver se seedha goli chalaya uss aadmi ke kulhe par….. phir music system on kar diya thoda loud…… WoH aadmi to hakbaka gaya aur dard ke mare kahanrrne laga bed par hi Vicky ko bhayaaanak nazron se dekhte huwe…. Aur tarapti awaaz se poocha,

“Kaun ho tum kia chahte ho mujhe goli kyun mara? Aur woh ladki kahan hai?”

Vicky uss waqt Hippie ke hi bhess mein tha…… Aur hamesha ki tarah bilkool shaant aur araam se apne chaal chal raha tha bina hadbadae bina kissi tension ke jeise woh hamesha mashoor tha cool hone ki weise hi araam se har step chal raha tha. Jaan bujh kar ek goli usske kulhe mein maar diya taake woh chal na paye, woh dard jo pure tang aur kamar mein hota hai kulhe mein goli lagne ke baad ke hilna namumkin ho jata hai, issi liye Vicky ne pehle wahin goli mari jaan kar.

Phir Vicky ne darwaza lock kiya aur chaabhi apne jeb mein rakh liya. Camera on kiya tripod par aur uss aadmi par focus kiya. Paas mein ek mez aur kursi bhii rakha huwa tha pehle se hi, wahan apne laptop ko rakha aur araam se chair par baith gaya uss aadmi ke chehre mein dekhte huwe. Woh aadmi tab tak bed se niche chala gaya jeise bed ke bagal mein chhupne ki koshish kar raha ho. Vicky ne uss se ek baat bhi nahin kiya tha tab tak. Aur uss ke chehre mein dekhte huwe Vicky ne ek cigarette nikali aur ussko sulgate huwe do kadam aadmi ke taraf chala. Cigarette ke dhuwan usske taraf phoonkte huwe Vicky usske paas baitha aur usske enkhon mein dekhte huwe ek shaitani muskurahat se ussko ek enkh mara phir wapas chala gaya camera ke paas.

Woh aadmi tharthar kampne laga aur kahanrrte huwe kaha,

“Mujhe hospital lechalo bahot dard ho raha hai main behosh ho jaunga kaun ho tum aur kia chahte ho, kyun mujhko goli mari aap ne kaun ho tum bhai?”

Tab Vicky bola.

“Mujhe tumhara interview lena hai aur tum doge abhi issi waqt….. Tumhara naam aur pata batao. Aur jo jo bhi main puchoon usska sahi sahi jawaab dena varna dusre kulhe mein bhi ek goli marunga.”

Aadmi tarapti awaaz mein bola

“Han sab bolunga magar aap ho kaun bhai sahab?”

“Main kaun hoon yeh tumhein jaanne ki koyi zaroorat nahin phir bhi mere sawaalon se tumko sab pata chal jaega ke main kaun hoon” Vicky ne thande awaaz mein kaha.

Phir Vicky ne camera ko sirf usske chehre par focus kiya taake usske goli lage huwe zakhm nahin dikhe aur Vicky ne sawaal kiya apne laptop par usska jawaab type karne ke liye,

“Apna naam, status, address sahi sahi batao. Jhoot kaha to ek goli khane ke liye tayaar rehna!”

Aadmi ne kaampte awaaz mein kaha, “mera naam hai Prem Kumaran, age 27, address *****”

Vicky apne jagah se utha, camera ko pause karke aur usske paas jaakar usske dusre tang par teen baar zor se uss mote laathi se mara jaanghon par!

Aadmi ne kaha,

“Ab kyun maar rahe ho?”

Vicky ne kaha, “Ghalat address bataya, main achchi tarah se jaanta hoon kahan rehte ho aur tumhara ghar ka number bhi maloom hai mujhe, shukar karo ke main ne goli nahin mari dande se mara…..”

Tab Vicky ne woh sawaal poocha, camera ko on karke aur ussko record karte huwe, ke uss aadmi ke enkhon ke saamne andhera chaane laga. Vicky ka agla sawaal yeh tha,

“Apne unn chaar saathiyon ke naam, address aur sahi age batao jo uss raat ko tumhare sath the jab tum logon ne Sanjaana Joshi ki rape kiya tha! Aur ghaur se sunon ek bhi information ghalat diya to iss revolver ke sabhi golian tumhare tangon mein utaar dunga abahij ho jaoge, zindagi bhar chal nahin paoge! Samjhe?”

Vicky apne kahe huwe har lavz ko nahin record kar raha tha jeise revolver ki golian tumko marunga etc, balke sirf sawaal aur jawaab record kar raha tha aur baaki sab khud edit karne ka bhi usska plan tha video banana se pehle.

Vicky usske jawaab ka intezaar kar raha tha apne cigarette ko ash tray mein bujhate huwe, aur dhuwan ko upar phoonkte huwe.

Uss aadmi ne rote huwe poocha, “Tum ho kaun yeh to bata do bhai!”

Tab Vicky khada huwa camera ko pause karke aur apne nakli hippie wale sunehre baal ko nikala, phir munchein phir kala masaa aur chasma aur uss aadmi ke enkhon mein enkhen daal kar dekha…… Woh aadmi aur bhi kaampne laga Vicky se haath jodhkar mwaafi maangte huwe…..

Vicky ne kaha,

“To sab sach sach batao iss camera mein dekhte huwe ek ek karke sab batao nahin to tumko goli se chalni karunga, jaan se nahin marunga, zinda chorunga zindagi bhar tarapne ke liye……”

Aur uss kutte ne sab batana shuru kiya… ek ek karke sab ke naam batata gaya aur Vicky sab ke naam aur address type karta gaya apne laptop par. Woh behosh bhi ho gaya ek baar dard ke mare. Vicky ne usske chehre par paani chirrka ke jagaya phir continue karne ko kaha. Woh saanss le le kar bol raha tha. Aakhir mein Vicky ne camera ko usske chehre par zoom kiya aur kaha ab iss camera mein dekhte huwe mwaafi mango aur kaho ke tum ne Sanjana Joshi ki rape kiya usske liye mwaafi maang rahe ho. Uss ne weisa hi kiya aur Vicky ne record kar liya. Jab sab kuch bata diya to Vicky ne camera off kiya aur uss laathi ko apne muthi mein zor se pakar kar uss ke paas gaya aur ek ke baad ek zor zor se ussko maarne laga…. Usske tangon par peeth par chehre par…maarta gaya, maarta gaya jeise hosh mein nahin tha…. Vicky ka woh roop kissi ne kabhi nahin dekha tha.. kehte hein nah ke thehre paani aur samandar ki gehraayi koyi nahi bata sakta, Vikcy weisa hi tha hamesha cool magar uss waqt woh apni Sanjana ko diya huwa vadaa nibha raha tha ussko sanjana ki awaaz sunayi de rahi thi ke woh keh rahi hai “bhaiyaa tum isska badla loge nah?” aur woh uss adhmare ko maarte jaa raha tha…woh maar khaate khaate behosh ho gaya phir bhi Vicky maarte jaa raha tha…usska chehre phat gaya khoon chaaron taraf chhitra gaye the kamre mein magar Vicky nahin ruk raha tha……khud thak gaya tha magar ussske hath nahin ruk rahe the eise maar raha tha jeise woh hosh mein nahin ho…. Woh ek sulagte huey dher ki tarah tha aur hawa milne par aise aag badhakti hai jo bujhaaye nahi bujhti – Vicky weisa tha uss waqt…… Aur aakhir mein Vicky ne revolver liya silencer ke saath aur baaki ke sabhi goliyon ko uss aadmi ke chaati mein utaar diya. Phir Sanjana ko yaad karte huwe, enkhon se behte huwe ensoowon se kaha,

“Sanjana baby ek ko maar dala main ne baaki ko bhi bahot jald khaatam kar dunga….ek to gaya meri laadli behen…ek to gaya…….”

30 minutes tak Vicky music system off karke chup chaap baitha raha kamre mein. Phir ek cigarette sulgaya aur kamre ko saf karne laga. Tab ek bade se chamri mein jo ussne jangal se laya tha, ussmein laash ko lapeta aur car ki dikki mein daalkar usssko usske gate par chorr diya. Subha ke 3 baje the aur pura sheher so raha tha uss waqt.

Wapas aakar kamre ko phir se dhoya jahan jahan khoon lage huwe the, bistar ke chaadar ko bhi dho diya washroom mein lejaakar…. Subha ho gaayi aur din mein check kiya chaaron taraf ke kahin khoon nahin laga ho…. Car mein bhi check kiya aur jahan jahan se guzra tha har uss jagah ko khub achchi tarah se check karne ke baad araaam karne gaya….

To be continued………………

Please complete the required fields.