Tarun- “ ok mom koi baat nahi. “
Kamini- “ beta wo Taniya ki ghadi kharab ho gayi hai. Ussne bola
hai,, ki Tu usse pick kr lena. “
Tarun ko ye sun kr thoda jhatka laga. Kiyoki Taniya ke paas bahut
saare options hote hai. Ghar pahuchne ke.. phir usne sepecially
mere liye kyo bola hai.
Tarun uss jagah ka address leta hai. Or phone cut kr deta hai..
Tarun ka plan soniya ka picha karne ka barbad ho gaya hai.. uska
mood thoda off ho gaya hai. .
Wo ghadi ko Taniya ke collage ki tarf ghuma deta hai.. or kuch hi der
me wo Taniya ke collage ke paas aa jata hai. To raste me hi Taniya
khadi hai..
Lekin uski ghadi kahi aas-paas nahi hai..
Tarun ghadi waha rok deta hai. Tarun sochne lagta hai. Agar ghadi
kharb hai to gayi kaha.. ya ye Taniya ka kuch plan hai mughse wo
sab baate discuss karne ka.
Taniya aa kr ghadi me baith jati hai.
Tarun- “ tumhari ghadi kaha hai. “
Taniya thodi hadbada jati hai.
Taniya- “ wo to… to collage me hai. “
Tarun- “ to tum yaha raste me kaise.. waise abhi tak tumhara collage
khatm nahi hua hai.. tum ko collage chod du. “
Taniya- “ nahi mai ghar hi ja rahi thi. Mera mood nahi hai aaj collage
jane ka. “
Tarun ab kuch nahi bolta hai. Or ghadi ghumane lagta hai..
Tabhi usse Taniya ki ghadi nazar aati hai. Wo waha se bahut dur
khadi hai .. lekin jaise hi tarun ki nazar uss ghadi pr padi koi uss
ghadi ko waha se chala kr le gaya. Lekin tarun ne pahle hi dekh liya
tha usme priya thi.
Ab tarun ko samgh aa gaya hai ki Taniya uske sath ghadi me kyo
jana chahti hai. Wo raaat ke bare me baat karna chahti hai. Ye soch
kr tarun ko thoda dar lagne laga hai…
Or tarun ne aaj ak baat notice ki ki aaj Taniya bahut payar se baat kr
rahi hai.. normally to wo tarun se gusse me ya chilla kr hi baat karti
hai. Tarun ko thoda ajib lag raha hai… wo Taniya ki or dekhta hai.
Wo apna sar niche kiye hue hai.. lekin aage dekh rahi hai.. kabhi
kabhi nazre chura kr tarun ki or dekhti hai. Or phir wapas dusri or
dekhne lagti hai. Hai..
Taniya aise behive kr rahi hai jaise tarun usse shadi ke liye dekhne
aaya hai.
Yaha tarun ki fati hui hai ki Taniya pata nahi kya puch le.. wo jaldi se
jaldi Taniya ko ghar pahuchana chahta hai… or Taniya himmat juta
rahi hai. Tarun se baat karne ke liye.
Tarun ghadi ko ghar ki or speed me bhaga leta hai.. tarun kuch
jayada hi jaldi me hai.
Usse bus jaldi se jaldi Taniya ko ghar pahuchana hai.. taurn ki har
waqat hi soch kr fat rahi hai ki
Taniya abhi kuch puchegi
Abhi puchegi
Ab pucha
Issi dar me taurn ghadi ki speed kuch jayada hi bada raha hai..
Taniya ye dekh kr tensin me aa jati hai ki aise chalet rahe to uske
paas time hi nahi bachega tarun se baat karne ke liye..
Tabhi Taniya bahut hi payari aawaj me
Taniya- “ bhai tum ko ghar jane ki bahut jaldi hai. Kuch jaruri kaam
hai kya. ? “
Tarun hadabada gaya or usne ko achchanak rok diya.. usse aaj
Taniya ke haal chal badle badle se lag rahe hai.. itne payar se to
kabhi Taniya ne kisi se baat nahi kit hi. Or aaj itna payar se wo bhi
tarun se jo uska sabse bada dusman hai..
Tarun taniya ki or dekh raha hai..
Taniya- “ itna tej ghadi chalaoge to accident ho jayega. “
Tarun- “ hmmh “
Tarun apni nazre wapas road pr karta hai uske baad ghadi ko
normal speed me chalane lagta hai..
Tarun bilkul bebas hai. Wo apna sara dhayan driving pr dene ki
kosis kr raha hai. Lekin uski nazar baar baar Taniya ki or ghuma jati
hai. Taniya kuch baat karne ki kosis kr rahi hai.
Lekin Taniya ki bhi himmat nahi ho rahi hai.. ki kaise tarun se baat
kare.. wo tarun se baat karne ke liye himmat jhuta rahi hai.. waha
tarun ko dar lag raha hai ki pata nahi Taniya kya bol de..
Tarun ko abho priya ke upper bahut gussa raha hai. Kiyoki usse
Taniya ki help ki hai jo Taniya ke sath usse aise idiot ki tarha baithna
pad raha hai.
Tabhi tarun halat bigd jati hai. Jab Taniya apna mh kholti hai.
Taniya- “ tarun aisa kuch bhi hai. Jo tum mughe batana chahte ho. “
Tarun ki gand me se hawa hi nikal gayi hai.. ussne dobara ghadi ki
speed thodi bada di..
Tarun- (haklate hue)” nahi aisa kuch nahi…”
Taniya- “ mugh aisa lagta hai ki tum mughse kuch chupa rahe ho. “
Tarun – “ nahi Taniya aisi koi baat nahi hai. Tum ko galatfami ho
gayi hai. “
Taniya- “ aaj mughe priya ne tumhare bare me kuch bataya hai..tum
ko pata hai wo kya baat hai. “
Tarun ghadi ko rok deta hai..
Tarun- “ ghar aa gaya. “
Taniya ko pata hi nahi chala kab tarun ne ghadi ki speed badai or
ghar pahucha diya. Lekin Taniya abhi bhi iss conversastion ko
chalu rakhna chahti hai. Isliye Taniya dobara bolti hai
Taniya- “ tarun.mughe. “
Tarun Taniya ki baat ko bich me hi kaat deta hai..
Tarun- “ Taniya ghar aa gaya utro. Mughe kahi jana hai, “
Taniya ko bahut tej guss aata hai.. wo gusse me ghadi se utr jati
hai.. or 2 kadam ghar ki or chalti hai.. phir wapas mud kr ghadi ke
paas waps aati hai. Or khidki pr jhuk kr taurn se gusse me
Taniya- “ kaha priya se milne ja raha hai kya. ? “
Abhi Taniya bahut jayada gusse me hai.. Taniya ki aawaj me se
payar ak pal me hi gayab ho gaya hai. Iss harkat se tarun ko jhatka
laga but Taniya ne jaise bola to taurn ko bhi gussa aaa gaya.
Taurn- “ bakwas band kr . mai office ja raha hu mom ne bulaya hai. “
Taniya- “ tarun tu na….”
Tarun- “ apni bakwas apne paas rakh or yaha se nikal mughe jane
de. “
Itna bol kr tarun waha se ghadi aage bada deta hai.. ghadi achanak
chalne se Taniya ko ghadi se ak jhatka lagta hai. Or wo girti girti
bachti hai.
Tarun ko bahut tej gusse aa rahe hai. Or tarun iss pure accident ka
karan priya ko man raha hai..
Priya shayad collage me hi hogi. Itna bol kr tarun ghadi ko full
speed me Taniya ke collage me chal deta hai..
Tarun style me ghadi ko ghuma kr collage ke samne laga deta hai.
Or phir idhar udhar dekhta hai.. waha priya dikhayi nahi de rahi hai…
or na hi Taniya ki ghadi waha hai,..
Tarun apna mobile nikalta hai.. or priya ko call karta hai.
Tarun- “ hello priya., “
Priya- “ bahut jaldi yaad aa gayi meri. “
Tarun- “ mughe abhi tumse milna hai. Tum kaha ho. “
Priya- “ achcha abhi milne ki itni bechaini or kal se to yaad bhi nahi
kiya. “
Tarun ko jaise dimag kharab hai. Or usse or gussa aa jata hai,..
Tarun- ( tej gusse me.) “ bakwas band kro abhi batao tum kaha ho. “
Tarun ki itni gusse me aawaj se priya bahut dar gayi hai.. usse
samgh nahi aa raha hai ki tarun ko ya hua hai. Lekin priya ke muh
se kuch sabad nikate hai.
Priya- “ mai ghr pr hi hu. “
Tarun- “ mughe tumse akele me kuch baat karni hai. “
Priya- “ to ghar hi aa jao.. yaha koi nahi hai. “
Tarun- “ ok mai aa rha hu. “
Tarun ghadi ko priya ke ghar ki or ghuma deta hai., or teji se priya
ke ghar ki or chal deta hai..
Tarun ko dur se hi waha Taniya ki car dikhayi deti hai. Or priya chat
ki balcony se tarun kao dekh rahi hai..
Wo tarun ko aate dekh teji se door open karne ke liye bhagti hai.
Tarun pure gusse me ghadi se utrta hai.. or gate ki or chal deta hai..
Tarun pure gusse me hai.. ussko sara gussa priya pr hai,.
Tarun gate pr pahuch kr abhi gate pr knock karne hi wala hai ki
darwaja khul jata hai..
Samne priya hai…
Tarun or priya aamne samne khade hai…..
Taurn ke muh pr bahut gussa hai. Or dusri or priya ke face pr tarun
se milne ki khushi hai. Or tarun se milne ki excitement hai..
Priya smile kr rahi hai.. priya ko aise dekh kr kisi ka bhi gussa gayab
ho jayega… tarun priya ko dekh kr kuch palo ke liye apna gussa hi
bhul gaya.. or priya ke smile karte hue chehre ko dekhne laga..
Priya ne tarun ka hath pakada or ander khich liya or door ko band kr
diya,.
Tarun ko sofe pr baithya.. taurn wapas hosh me aata hai.. lekin abhi
taurn ko jayada gussa nahi aa raha hai.
Tarun- “ priya. Mughe tumse kuch baat karni hai. “
Priya tarun se bilkul chipak kr baithi hai..
Tarun thoda piche hota hai.. to priya or aage khisk jati hai.. or
dobara tarun se chipak jati hai.. ab or piche hone ke liye jagah nahi
hai. Isliye taurn waise hi sofe pr baitha rahata hai.
Taurn- “ mughe tumse kuch puchna hai. “
Priya – “ hmm pahle mere salwalo ke jawab do. “
Tarun- “ kaise sawal.. or mere sawal jayada jaruri hai. “
Priya – “ sawal to mere bhi jaruri hai.. agar mere sawalo ka jawab
nahi diya to tumhare sawalo ke bare me bhul jao. “
Tarun – “ ok bolo. “
Priya- “ tum kal jab gaye the tab maine tum ko night me call kiya tha
to tum ne sirf ak baar sawal uthaya or uske baad kaat diya.. usske
baad kabhiab tak phone nahi uthaya. “
Taurn ko ye sun ka ajib lagta hai kiyoki usse to priya ka koi call nahi
aaya.. taurn ye baat priya ko bolne ki kosis karta hai.
Tarun- “ priya lekin….. “
Priya bich me hi tarun ki baat kaat deti hai. Or tarun ke hotho pr
ungli rakh kr usse chup rahne ka ishara karti hai..
Priya- “ sssshhshhhhh tarun pahle meri baat sun lo… “
Tarun ab bus priya ki aakho me dekh raha hai..
Priya ki aakho me ab dard umad aaya hai.. uski aakho me 2 assu ki
bunde hai. Jo kabhi bhi aakho se gaalo ke raste pr nikal sakti hai..
Priya- “ mai kal raat tumko bahut baar call kiya. Lekin tum ne har
baar phone kaat diya…”
Priya thoda rukti hai. Or ak lambi saas le kr.
Priya- “ mai kal pri raat yahi soch rahi thi ki tum ne mera call kyo
nahi utha rahe ho… mai abhi tum se ak hi baat puchna chahti hu. “
Priya wapas tarun ki aakho me dekhti hai. Ab tarun ko bhi priya ke
dard ka feel ho raha hai.
Priya- “ kya tum sach me mughse payar karte ho.? “
Tarun ki aakho me tarun ko apne liye bahut jayad payar nazar aa
raha hai. Lekin tarun ko ab bahut guilty feel ho raha hai.. priya dil
tham kr tarun ke jawab ka wait kr rahi hai..
Tarun pahle hi pata hai ki usne priya ke sath bahut bura kiya hai. Ab
tarun me itni himmat nahi hai ki wo priya dil tod sake…
Tarun ne abhi kuch kaha bhi nahi hai ki priya ki aakho me baithe
assu gaalo ke rasto pr nikal gayye…
Isne to jaise tarun ke dill me aag laga di.. or taurn ne jhatke se priya
ko apne gale se laga liya. Or ab tarun ki aakho me bhi aasu hai.
Lekin abhi tak tarun ne kuch nahi bola hai. Wo bus priya ko apni
baho me bhare hue hai.. taurn ko ke dimag ne kaam karna band kr
diya hai. Or tarun apne feeling me bah jata hai.
Tarun- “ I love you priya.. love you so much. “
Tarun ke dimag ne to jaise kaam karna hi band diya hai. Uska ot dill
sab soch raha hai.. or dill se kisi ka dard dekha nahi jata .. tarun ki
aakho se bhi aasu bahne lage hai..
Priya tarun ko thoda alag karti hai. Or taurn ke chehre ko apne
hatho me bharti hai… tarun ke aasiu dekh kr priya unhe puchne
lagti hai.
Priya- “ are baby tum kyo ro rahe ho. “
tarun bhi priya ke aasu pochta hai.
Tarun- “ aise hi mai tum ko sote hue nahi dekh sakta “
Priya- “ tumahe acha nahi lagta hai na.,..”
Tarun- “ nahi. “
Priya- “ to kabhi nahi roungi. Pahle tum bhi promiss karo ki tum
mughe cod kr kabhi nahi jaoge. “
tarun ye sun kr soch me pad gaya.. wo apne hi jaal me fasta ja raha
hai..
Taurn ako abhi tak samgh nahi aaaya hai ki uski sabse badi kamzori
uska payar hai.. or sabse badi takat bhi payar hai.
Taurn ko tannu tina or tiya se kiye hue promiss yaad aa rahe hai..
lekin tarun ka dil payar ke hatho majbur hai.. or na chahte hue bhi
taunr me muh se ye word nikal jate hai.
Tarun- “ I promiss tum ko kabhi nahi chodunga “
Ye bolne baad tarun ko jayada khushi nahi hui bus majburi mahsus
hui// lekin ye sun kr priya bahut khush hai…
Usse khush dekh kr tarun uski khushi me apni khshi dundne ki
kosis karta hai…..
Or usse yakon nahi hota hai ki priya ke khush hone se usse khushi
mil rahi hai.. uski smile se tarun ko bahut khushi ho rahi hai.
Ab tarun sab bhul kr bus priya ko dekhne lagta hai.. uske face pr ak
bahut badi smile hai.. jisse dekh kr taurn ke face pr bhi smile aa gayi
Priya taurn ke sine se lag jati hai. Tarun bhi usse apni baho me bhar
leta hai./..
Priya- “ tarun ab batao tum kya puchne wale the. ? “
Ye sun kr taurn ke dimag ne kaam karna suru kr diya.. or puri
situation ko samghta hai.
Tarun turant priya ko thoda dur karta hai., or uth kr dusre single
sofe pr baith jata hai..
Priya ko ye thoda hi ajib lagta hai.. lekin taurn ne jo abhi priya ko
khushi di hai. Uski wajah se priya ne iss baat pr jayada dhayan nahi
diya.
Tarun- “ priya tum ne Taniya ko humare bare me kuch bataya. “
Priya thoda chokti hai…
Priya- “ nahi to maine kuch nahi bataya. “
Tarun- “ jhut mat bolo aaj uski baato se aisa lag raha tha ki usse
humare bare me sab pata chal gaya hai. “
Priya- “ haa aaj wo mughse bhi bahut chidi hui thi. Mai jab bhi
tumhare bare me puchti to wo gusse se meri or dekhti “
Tarun- “ tum usse mere bare me kyo puch rahi thi. “
Priya- “ to mai kya karti tum mera phone nahi utha rahe the. “
Tarun ko wapas wo phone wali baate yaad aati hai.
Tarun- “ lekin mughe tumhara koi call nahi aaya. “
Priya – “ jhut mat bolo tum mera call uthte hi nahi ho.. or kal raat ko
to mera call ak baar uthya uske baad kaat rahe the..”
Tarun- “ tuma ne kya bola tha call pr.”
Priya ab thoda shant ho gayi hai.. usse bhi lagne laga hai shayad
koi problem hai..
Priya- “ I love bola tha uske baad .. “
Priya ruk gayi..
Tarun- “ uske baad. “
Priya – “ jo ghadi me humare bich hua tha uske bare me. “
Tarun ko dimag satak gaya..
Tarun- “ tum mughe abhi call karo.. “
Priya apna phone nikalti hai.. or tarun ko call karti hai.
Tarun apna phone hath me liye hue hai.. or usse dekh kr chok jata
hai..
Priya ka number kisi ne block list me dala hua hai. Isse priya ke caal
pr koi ringtone nahi bajegi or na hi miss caal show karega or msg
spams me chale jayenge..
Tarun samgh raat ko jiske paas mera mobile tha usne hi aisa kiya
hai..
Tarun apne dimag ke ghode dhodata hai.
Ghar pr sab to aaj normal lag rahe hai.. sivay Taniya ke.. or wo raat
ko mere room me bhi thi…
Tarun sara mamla samgh gaya., lekin Taniya ne priya ka number
blocklist me kyo dala .. wo priya se itna kyo chid rahi hai..
Priya- “ tarun kya hua..?? “
Tarun- “ kuch nahi wo galti se tumhara number blocklist me chala
gaya tha. “
Taurn ye sab priya ko nahi batana chahta.. usse tensin nahi dena
chahta hai..
Tarun- “ priya Taniya ko hum pr shaq ho gaya hai tum Taniya se
mere bare me bilkul bhi baat mat kiya karo. “
Priya- “ hmm “
Tarun- “ waise aaj tum uski ghadi le kr kyo ghum rahi thi. “
Priya- “ wo taniya ne hi bola tha ki mai uski car le jau.. “
Tarun- “ kyo. “
Priya – “ usnee or kuch nahi batya. “
Tarun ak soch me dub gaya.. ki Taniya aakhir chahti kya hai.. or wo
itna chidi hui kyo hai..
Tarun- “ ok mughe chalana chahiye. “
Priya wapas tarun ki baho me chali jati hai..
Priya- “ itni kya jaldi hai,… “
Tarun- “ mughe tiya ko lene jana hai uske school chutne ka time ho
raha hai. “
Priya tarun ke hotho pr ak kiss deti hai.. taurn tuarnt kiss tid deta
hai. Or main gate ki or jane lagta hai.. priya wahi khadi rahti hai..
Tarun main gate khol kr waha se bahar nikal jata hai.. tabhi waha
soniya ki ghadi aa kr rukati hai. Soniya tarun ko dekh kr bahut
khush hoti hai. Wahi priya bhi gate pr aa jati hai….
Soniya ko waha dekh kr priya ke chehre ka to jaise rang hi ud gaya
hai. Jaise uski koi bahut badi chori pakdi jane wali hai…
Tarun soniya ko dekh kr nirmal rahta hai..
Soniya tarun ki or badhti hai.
Soniya- “ are beta tum yaha. “
Tarun- “ anty wo mughe priya se kuch kaam tha..”
Soniya- “ achcha Taniya bhi aayi hai ki uski ghadi hai.. “
Tarun- “ nahi wo priya ko jarurat to wo le kr aayi hai.. “
Soniya- “ aao beta ander chalo.. “
Tarun- “ nahi anty wo tiya ke school jana hai usse lene. “
Soniya- “ ok beta tum jao tiya wait kr rahi hogi.”
Soniya itna bol kr ander chali jati hai..
Jab tak soniya waha thi priya kea k dum fati hui thi. Uske chehre ka
rang uda hua tha.. soniya ke jane ke baad priya ki saas me saas
aayi.
Taurn ne ye baat notice ki.. lekin tarun sochne laga priya ki mom to
itni achchi hai.. to uske aane se priya ki saas kyo atak gayi thi….
Shayad priya ko kisi baat dar ho.. ya kuch chupa rahi ho…
Shayad iss baat se dar lag raha hai ki uska bf pakada na jaye. ..
Tarun bhi yahi soch kr iss baat ko ignor kr deta hai.. or ghadi ko teji
se tiya ke school ki or bhaga deta hai..
Tarun ab jab tarun ke dimag ne kaam karna suru kr diya hai to usse
wo baate samgh aa rahi hai.
Tarun ko khud pr gusse aa rahe hai ki kya soch kr usne priya ko I
love bol diya.. kya soch kr promiss kiya… kya soch raha tha..
Priya ke payar ko dekh kr ab to tarun ko khud se nafart ho rahi hai..
Usse dar lag raha hai kahi uski wajah se priya ka dil na tut jaye.. ab
usse priya ke dil ki apne dil se jayada fikr ho rahi hai.. usse khud se
nafart hone lagi hai ki bina kisi galti ke priya ke jajbaato ke sath khel
raha hai..
Dusri tarf tarun ko ab priya ke samne jane se bhi thoda dar lagene
laga hai. Kiyoki wo uske samne ja kr bebas ho jata hai..
Tarun apni soch me duba pata nahi kab tiya ke school pahuch gaya.
Tarun apne khayalo se bahar aata hai.. or ghadi ko school ke samne
ke ped ke niche rok deta hai..
Tarun bahut jaldi aagaya hai. Abhi tak school ki chutti nahi hui hai..
Tarun wahi ghai rok kr apni life ke bare me kuch sochne lagta hai…
Uski life me roz kuch na kuch pange hote hai.. aisa koi nahi hai jo
usse jhatke na deta ho.. uski life ka har pal ak naya mod leta hai..
Tarun apne khayalo me khaya hua hai… tabhi uski ghadi ke sishe pr
ak knock hota hai… or tarun apne khayalo ki duniya se bahar nikal
aata hai..
Ye.. sonam hai tiya ki dost.. or tarun ki ex-gf..
Tarun window ke bahar sonam ko dekhta hai.. sonam bhi sad hai.
Lekin phir bhi tarun ko dikhavti smile de rahi hai..
Tarun window kholta hai..
Tarun- “ Hii sonam kaisi ho..?? “
Sonam- “ fine.. tum itne paresan kyo ho.. ? “
Tarun- “ mai kaha paresan hu. I am good yaar. “
Sonam- “ jhut mat bolo tum ko dekhne se koi bhi bata sakta hai ki
tum paresan ho. “
Tarun ko achcha laga ki kisi ne to bina kahe uski halat jann li..
Tarun- “ sonam tum ander aao bahar bahut garmi hai. “
Sonam gate khol kr tarun ke bagal wali seat pr baith jati hai.
Sonam ke chehre se bhi pata chala raha hai. Wo bahut sad hai.
Tarun ne ye baat notice kr li hai.. sonam apna chehra duri or ghuma
kr apne dhukh ko chupane ki kosis kr rahi hai.
Tarun- “ sonam tum bhi to mughse jhut bol rahi ho. “
Sonam- “ maine kya jhut bola. “
Tarun- “ yahi ki tum thik ho… jab ki tumhare chehre se bhi ye saaf
pata chal raha hai ki tum bahut sad ho. “
Sonam- “ aisi koi baat nahi hai bus aise hi thoda “
Sonam bolte bolte bich me hi ruk jati hai… tarun ko samgh aa jata
hai ki sirf uski life aisi nahi hai jisme problems hai..
Tarun- “ hmm mai bhi aisa hi kuch kahne wala tha yadi tum puchti
to.”

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.