Reading Mode

ho gaya ”
Tarun Taniya ki or dekhta hai.. or phir us niche pade hue
ladke ki or dekhta hai..
Wo niche pada hua dard se ro raha hai.. uske sar se khun
bah raha hai..
Tabhi tarun tej chilata hua uss patar ko uss ladke ki kamar
pr patak deta hai.. isse uss ladke ke muh se khun ki dhar
bahne lagti hai..
Ab tarun shaitan ki tarha smile kr raha hai.. uske iss roop
ko dekh ke priya or Taniya ki dar ke maare gand fati hui
hai..
Tabhi tarun apne hath se apna muh pochta hua.. isse tarun
ke hath pr laga hua khun tarun ke face pr lag jata hai….
tarun Taniya ke paas khada ho jata hai.. ab Taniya un niche
pade hue ladko ko daya ki bhavana se dekh rahi hai.. wo
dard ke maare tadap rahe hai.. lekin tarun ke face pr ak
choti si dangers smile hai..
Bagal me khada ladka..
Ladka- “ bhai mughe chod do… mai inke sath nahi hu.. “
Tarun uske kandhe pr hath rakhta hai..
Tarun- “ mai tughe nahi marunga.. lekin tughe mera ak
kaam karna padega “
Ladka- “ ji bhai jo bologe karunga.. lekin please mughe
marna mat. “
Tarun- “ nahi marunga.. ab sun.. inn sab ko hospital me
bharti karva de.. or inko bol dena.. mere khilaf apna muh na
khole.. agar khola to.. upper hi bhagwan se meeting ke liye

bhej dunga. “
Ladka – “ g bhai samgha dunga.. ab jau “
Tarun- “ ha ja or inhe bhi le ja “
Ab tarun Taniya ki or dekhta hai..
Tarun- “ Taniya gadi me baitho..”
Taniya isse an suna kr deti hai.. Taniya ke face pr dard
umad raha hai… tarun Taniya ka hath pakdta hai or usse
gadi ke ander baitha deta hai..
Ab tarun priya ki or badta hai. priya darke maare thoda
piche hat jati hai..
Tarun ko thoda ajib lagta hai. isliye wo ruk jata hai..
Tarun- “ priya… Taniya abhi gadi chalane ki halat me nahi
hai. tum isse ghar pahucha do. “
Tarun itna kah kr priya ke face ki or dekh raha hai. or uske
jawab ka wait kr raha hai… lekin priya koi response nahi
deti.. bus dari hui nazro se tarun ki or dekh rahi hai.
Tarun- “ priya..??? “
Ab priya thoda hosh me aati hai.
Priya- “ ha ha.. mai le jaungi “
Tarun- “ hmm to jaldi le jao..”
Itna sun kr priya gadi ki driving seat pr baith jati hai.. or
gadi ko start krke nikal jati hai.. Taniya or priya ak dusre se
bilkul bhi baat nahi kr rahe hai.. dono ke dil me thoda dar
baitha hua hai..
Tarun apni bike ko start karta hai.. or taniya ki ghadi ke
piche nikal padta hai.
Dono sath me hi ghar pahuchte hai.. priya gadi ko garaj me
park kr deti hai.. Taniya bina kuch bole ghar me chali jati
hai.. priya gate ke bahar khadi hai.. tabhi tarun samne bike
rokta hai..
Tarun- “ chalo priya mai tum ko ghar chod deta hai “
Priya abhi bhi thoda dari hui hai.
Priya- “ nahi mai chali jaungi “
Tarun- “ are abhi kuch nahi milega.. tum mere sath chalo
mai chod dunga.. “
Iss baar priya ne kuch nahi kaha or chup-chap bike pr baith
gayi… or tarun ne bike ko bahar ki or ghuma diya..
Tarun tej speed me bike chal raha hai.. or priya usse rasta
bata rahi hai.. kuch der me tarun bike ko rakta hai. or priya
utar jati hai.. priya bye bol kr jane lagti hai.
Tarun- “ priya.. aaj ke incident ke baare me kisi ko mat
batana “
Priya- “ hmm ok “
Itna kah kr priya chali jati hai or tarun bhi wapas ghar ki or
chal deta hai..
Tabhi tarun ka dhayan apne kapdo pr jata hai.. uske jute
pent t-shit sab pr khun laga hua hai… wo raste me hi side
me bike rok deta hai.. aisi halat me tarun ghar nahi ja sakta
hai… or aisi halt me wo mall me shoping karne bhi nahi ja
sakta hai.. abhi uske kuch samgh mw nahi aa raha hai ki
kya kare.. yaha iss sahar me uska koi dost bhi nahi hai..
Abhi tarun ke dimag me sirf do hi naam aaye… sonam or
Please complete the required fields.