Ab tarun or tannu ghar me akele hai.. tannu kitchem me
bartan saf kr rahi hai. tarun waha kitchen me aata hai.. or
tannu ke side me khada ho jata hai.. tannu ak nazar tarun
pr dalti hai. uske face pr koi expressions nahi hai.. wo
wapas barten saff karne me busy ho jati hai.. tarun ab tarsi
hui nazaro se tannu ki or dekh raha hai.
Tarun ko lag raha hai ki tannu abhi uss pr gussa karegi..
usse dategi.. or apne dil ka sara dard bahar nikal degi..
Lekin tarun galt hai.. tannu ander se kafi strong hai.. usne
apne dard ko bahar Jahir hone nahi diya.. or apne kaam me
busy rahi… tarun kuch der tak tannu ke kuch bolne ka wait
krta hai.. lekin tannu kuch nahi bolti.
Abhi tannu ne apna kaam khatm kr liya hai. or wo waha se
bahar jane lagti hai. lekin lekin tarun raste me khada hai.
tarun ke face pr tannu ki narajgi ka dard hai.. lekin tannu ko
isse koi fark nahi pad raha hai.
Tannu tarun ko side me dakka deti hai.. or waha se janne
lagti hai… tarun tannu ka hath pakad leta hai.. tannu apna
hath chudane ki kosis kar rahi hai.
Tannu- “ bhai mera hath chodo “
Tarun- “ nahi di pahle aap meri baat suno “
Tannu- “ bhai mera hath chodo.. warna achcha nahi hoga. “
Ab tarun tannu ko ghuma kr samne khada karta hai.. or
usske kandho ko pakad kr..
Tarun- “ warna aap mughe maarengi.. jaise subha maara
tha..”
Itna kah kr tarun rukta hai..
Tarun- “ di aap mughe kitna bhi maar le. Lekin mai aapko
jab tak nahi chodunga.. jab tak aap meri baat nahi maan leti
hai.. “
Tannu- “ mughe tumse koi baat nahi karni hai..”
Tarun- “ please di… ak baar meri baat sun lo.. uske baad jo
bhi aap ka faisla hoga mai maan lunga. “
Ab tannu ka gussa kam ho raha hai lekin uska dard bad
raha hai.. wo tarun ko dhakke se alag karti hai.
Tannu- “ maine ak baar bol diya na.. mughe tumse koi baat
nahi karni.. or tum bhi mughse kabhi baat karne ki kosis
mat karna..”
Ye kahate hue tannu ki aakho se aasu bah rahe hai.. tannu
ke aasuo ka bandh ab tut chukka hai..
Tarun- “ di……”
Tarun kuch or bolta.. isse pahle hi tannu phir se rote hue..
chilati hai..
Tannu- ( rote hue uchi aawaj me) “ bhai tum ne mere visvas
ko thoda hai.. mere payar ki insult ki hai.. . mai iske liye
tumhe kabhi maaf nahi krungi..”
Itna kahte hue.. tannu rone lagti hai.. or or niche muh kr
apne dono hath se muh ko chupa leti hai… tab tarun uske
paas aata hai.. or tannu ke kandhe pr hath rakhta hai..
Tabhi ak chatak tej jordar thapad tarun ke gaal pr padta
hai.. ye tannu ne diya hai or tannu thoda dur ho jati hai..
Tannu- “ don’t you dare to touch me…… tum ak charterless
ladke ho.. jo kisi bhi ladki ke sath kuch bhi kr sakta hai…
tum kisi ke payar ke kabil nahi ho…”
Itna kah kr tannu apne aasu poch leti hai.. or ab tannu ne
apne dard ko dobaara control kr liya hai.. tarun abhi wahi
sar jhukaye khada hai.
Tannu- “ or tumhare liye mai aasu bahar kr khud ki or insult
nahi karungi.. tumhare liye bahne wale aasu sirf waste hai..
or kabhi mughse baat karne ki kosis bhi mat karna.”
Itna kah kr tannu waha se apne room ki or chali jati hai..
tarun abhi bhi apni safai me kuch nahi kah paya.. wo bus
tannu ki baato ko sun raha tha. Usse wo sab baate kaato ki
trha chubi hai.. usse ab tannu ke dard ka ahsaas hua hai..
tarun ka dill bhi ab ro raha hai.. uski aakho me aauo ki dhar
bahane lagi hai..
Tarun abhi bhi wahi kadha ro raha hai. usse socha hua plan
ussi pr ulta pad gaya. Usne kabhi nahi socha tha aisa
hoga…
Uske dil dimag me tannu ki boli hui baate ghum rahi hai,..
isse usse or dard or sharmindgi ho rahi hai.. lekin tarun
apni aakho ke aasu pochta hai. or tannu ke room ki or
dekhta hai. tarun khud ke emosations ko control karta hai.
or tannu ke bare me sochta hua.. tannu ke room ki or chal
deta hai.
Tannu ka room ander se lock hai. tarun door pr knock karta
hai. lekin ander se koi response nahi aata.. tarun phir se
knock karta hai.. iss baare ander se tannu ki aawaj aati hai..
Tannu- “ bhai yaha se chale jao mughe tumse koi baat nahi
karni.. “
Tarun ko ab samgh nahi aa raha hai ki kya kare.. tarun wahi
darwaje pr apna sar thika kr khada ho jata hai…
Ander tannu bhi darwaje ke paas khadi hai.. tarun apne
aasu pochta hai.. or ak lambi saas leta hai..
Tarun- (dhire se) “ di “
Tannu kuch nahi bolti
Tarun- “ di mughe pata ki mughe bahut badi galti hui hai..
shayad mai mafi ke kabil bhi nahi hu.. lekin har muzrim ko
apni baat rakhne ka ak chance diya jata hai.. “
Itna kah kr tarun ruk jata hai.. abhi tannu ki aakho se aasu
nikalne lage hai.. wo subk subk kr ro rahi hai…usski ye
aawaj tarun ko sunai de rahi hai.. isse tarun ki aakho se bhi
2 aasu nikal aate hai..
Tarun ak lamibi saas leta hai.. or bolna start karta hai.
Tarun- “ di maine jo kiya shayad wo galt hai.. lekin ak baat
jo mai aapko batana chahta hu.. wo ye hai ki jitna payar mai
aapse karta hu. Utna hi payar mai tina di se bhi karta hu. “

