update 255
ab aagee
………………………………………………………
Mahal bara hI bhavya aur vishal ta sanju toh yaha ki chakachaundh me hi kho sa gaya ta…
Har taraf seva k liye darban aur dasiya khari ti.. sanju ko ek kamra milla ..
Kamra kya kahiye yah koi alishan suite se kam nai ta…
Kamre k thik bicho bich visal sa bed laga ta..khidki se bahar kafi sundar drishya ta..
Aaradhya toh pahli baar yaha aa kar fulli nai sama rai ti..wah har traf ghumti aur priya ko apnne sath liye chalti…
Aaradhya ki khusi jaha dekhte hi banti thi vai priya shant gambhir rahti..usse yah nayapan bara ajeeb sa lag raha ta..
Kahi na kahi priya kahi priya k man me ye b ta ye Sab kuch hamara nai aur jo chij uski nai uski kaisi khusi ya gam…
“Aee suno…”aaradhya ne ek dasi ko awaj di..
“Ji rajkumari..”
“Yaha bagiche kidhar honge ..”
“Di aapko kya karna hai bagichee me…”priya
“Aree ruk toh sahi..”..aaradhya
“Wo rajkumari ji bagiche yaha se kuch duri par hai..aap aagya de ham fal lete aayenge..”
“Aree nai fal tor kar khane ka apna hi maja hai..chal priya aur tm hamare sath chal rahi ho..”aaradhya khill kh8llati boli ..
“Magar rajkumari ji mujhe puja k liye samagri lani hai maharani ka adesh hai..”dasi jara ghabra rai ti..
maa se kyu darti ho mai hu na ..maine kaha chalo toh chalo…..”aardhya boli…
“Di par ho sakta hai kuch jaroori ho..”priya ne kosis karni chahi..
“Aree chalna..”aaradhya dono ko sath liye badhne lagii..
“Beta……..”nani ki awaj se sab ruk gayee…pichee murrre toh nani inki sari harkate na jane kab se dekh muskura rai thi..inhi chubajiyo ki kami toh thi yaha….jisse ye titliyaa
Apnne rang me rang dalne ko aa chuki ti..
“Kahi b jana ho par ..puja se pahlee nai..tm jao majri kam dekho…aur chaliye aap dono b..”
“Nani…aati hu na ghum kar..”aaradhya nani ko mannane ki kosis karti hai..
“Na pahle puja firr jaha mann me aaye ghumti rahna dono ye sab tmlogo ka hi toh hai..ab chalo dono..”
Nani ne aradhya aur priya dono ko kha..
“Nani ji mai maa k pass jau..”priya boli..
“Maine kaha dono ko yani tum b aa rai ho..”
“Nani ji par puja me toh di ki jarurat hai..mai tohh……”
“Dekho beta tm dono hi hamare bachee ho..mere liye jaiisi aaradhya h@I vaisi hi tm b ho toh tm dono ko puja me baithna hai…”
Teeno koi chal diyee…
“Vaisee nani aapki jawani ka kya raaj hai..”aaradhya ne apni nani ko cheera..
“Arreee pagli thori toh saram kar teri maa b mujhse aaisi baat nai karti..”
“Arre nani vo toh aapki beti hai mai toh natni hu…”.priya ne chutki kati aaradhya ko shant rahne k liyee….
Ouchhhhh..aree chuti kyu kaati….
“Tmhe chup rahne k liye kah rai sikh kuch apni choti bahan se…..”Nanimuskati boli….
Par achanak se aaradhya shant hoti boli…”khamosi ko mujhse behtar kaun j@nta hai nani itnne saalo tak akeli tanha hi rai hu..lori ki jagah mantraucharan sunti ti…
Par ab iss shanti se dar sa lagta hai mujhee..aaosa lagta hai ye jo khusiya hai chanik nikli toh….”
Aaradhya kahti gai..gambhirta se..aur priya aur nani bas fekhte rahe usse..
Nani ne gale laga kar kaha..
“Na meribachi na ab aaisa kuch b nai hoga …”
To be CONTINUED

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.