Reading Mode

update 242
ab aagee
……………………………………………….
Aakash me kaale badal bari jorr se idhar se udhar honne lag paree…
Aaradhya k aankho me aasu the…aur hath me khanjar..vah matra padhti ..
Dusreeee hath me chirra laga kar rakht havan kund me daalne lagi…
Dill ka dard aankho se ho kar bah raha ta toh vahi aaradhya ka lahu…havan kund. Mee….

Bijliyo ki takarav se avaj gunj utha…sujay ki aankhe hairat se khaufjada Ho gai…
Vo kabhi havankund me dekhta toh kabhi aaradhya k hath se bahte lahu ko…

“Nai mujhe yah sab rokna hogaa..deer kiya toh garbar ho jaiegi..”sujay havankund ki traf badha hi tha ki aaradhya ne hath upar ki…
Uski aankhe surkh laal par gai ti…hath se ek tejj bijli ki trah nikal kar sujay ko lagi..usse tejj bijli ka jhatka laga aur vo..durr girr gaya

Yah dekh ramjih k hotho p muskurahat ti…
Aag teji se badhne laga upar aakash ki traf…
………………..
“Maa ji ab mere jane ka waqt ho chala hai …mai nai janti firr aap se mill paungi ya nai…par apni poti ka khayal..”..abhi chachi ki baat puri b na hui thi ki aakash ki taraf se ek kiran ki lahrree aati hui chachi ko lapete me leti utha chali…

“Vo jaate jaate bas itna kah rai ti..”khayal rakhiyega ..meri bachi ka..”dard me tarapta unka antim sawar yai sab sunn sakee…

Dadi geeta kavita neha priya sab bas dekhte rah gai…koi kuch na kar paya …

Havan kund ki agni me samne vo prakat honne lag parii…kirno se jakri….

Sujay ko antim upai bas tantrik baba hi dikha …
“Baba aapke parivaar ajad hai rokiyee ye sab ..isse pagle ki deer ho jaiyee….”

Baba kabhi sujay ko dekhta toh kabhi…aaradhya ko …..

Aaradhya ne ek shakti ka prahar maa p kiya…jisse uski maa ne haste huve swagat kiya…koi pratirodh nai….

Vo sakti takra kar ramjih me pravesh karni suru hogai….

Tabhi vaha tejj gati se car aakar laghbhag skit karti hui ruki…

Jaldi se gate khulla aur usme se uskee maa aur bahne niklee…

Sujay ek baar firr se chalang lagaya havan ki traf par aaradhya ki dristi jaise hi sujayy p pariii vo bawandar m fasta havao me upar utne laga….

Tejj hava chal rahi ti..aur bijliiya joro ki awaj karti aapas me takrati jati…..

Chachi ka sareer dhiire dhiree sthil parne laga ta..
Aur ramjih balwan hota ja raha ta…uske masals abhi dekhne layak tee….

“Baba ab toh roko ..ye sab …isse pahle ki deer ho jaiyee….”sujay nachta huwa b chikha ….

Baba kabhi sujay ko dekhte toh kabhi aaradhya ka raudra ruup

Tabhi baba me bhasmm nikal mantra jaap kar havankund me jhoka….

“Aaradhya ko tejj jhatka laga…uski aankhe samanya honne lagi…

Samne sanju aur baki sab p najar pari…aaradhya ne shkti ka prahar maa se hata kar ramjih p kar diya……

Ramjih bandhan ki jakar me aa gaya aur jo b shakatiya usme gai ti…vo vapas uski maa me samane lag gai….

Fir aaradhya ne ek aur mantra jaap kiya aur ramjih p chor diya …uske sari shakti jo aaradhya ne apni sadhna se di ti usse ek ek kar chinne lag gai….ramjih durbal hota chala ja raha ta aur tarpta rahta…

Jab sari shakti chin li toh ramjih wahi girr para …..

Aaradhya ne apni maa ko bandhan mukt kiya…aur unse lipat futtt futt kar ro pari…

Nbaba b apnne parivaar ko dekh khusi se fulle nai sma rai tee..

Bechare sujay p toh kissi ka dhayan hi nai ta ..jo hava me gullati p gullati khai ja raha ta ….

Sabhi apnne milan me magn te iska faida utha ramjih vaha se apni bachi khuchi sakti samet bhag khara huva…kab inn sabko pata b nai chala…

“Aree koi mujhe iss chakar ghirni se nikalega sar ghum raha hai mera yar….”
Sujay ki awaj se ..aaradhya ka dhyan uss traf gaya..

Vio sakti ka prayog karne hi ja rai ti ki uski maa ne sab kuch sant karye huwe sujay ko neeche utara …

Sujay khara huwa par sab kuch ghumta huva sa laga toh vapas jamin p baith sar samnya honne ka intjaar karne laga…

Sab sujay k hal p has rai tee…

Aaradhya k jhakm par uski maa ki najar gai toh usne usse turant thik kiya…

To be CONTINUED

Please complete the required fields.