ab aagee
……………………………………
Aaradhya geeta k sath hi naha li ……
Jab aaradhya ne ramjih k laue huwe choli aur ghagra pahnI toh sab awak rah gai…darasal baat ye ti ghagra ghutne tak aati ti..aur choli ka gaalla jan much kar itna bara silwaya gaya ta uske stan chipe kam dikhe jada..
Choli ka kasav kuch iss kadhar chati p jada ta ki uske stan upar ki traf ubhar kar aadhe se jada nange te..
Koi b aaradhya ko iss rupe dekh kar ** hi karna chahega aaisa manjar ta..
“Ye kapree kaha se liye beti..”geeta aakhir puch hi baithi..
“Vahi harami laya hai chachi..diya hai naha kar yai pahnu..mai..mere pass paise kaha rahte hai jo kapree lungi..”
Vo ghagree ka nara bandhti boli..
“Beti di ko apne kapre do …”geeta priya ko boli..
Priya andar jane hi lagi ti ki …
“Priya beti rahne de…”dadi ne mna koya….
Geeta ko kuch b samajh na aaya aakhir dadi aaisa kyu kah rai hai.
“Maa ji ye aap kya kah rai hai..dekh rai hai kaisa kapra hai ye..isme chip kam dikh jada raha hai..”
“Maa ji sahi kah rai hai geeta ..abhi agar aaradhya dusree kapree pahnegi toh kai sawal khare ho jaienge..unhe sak ho jaiega ye kaha se aa rai hai..”
Kavita ne dadi ki baat ka samarthan kiya..
“Par di dekhiye toh sahi kaisa bedhanga hai ye..”geeta ka man nai man raha ta…
“Rahne dijiye chachi dadi aur cchachi sahi kah rai hai..aur vaise b aaaj tak usi k diye kapree toh pahnti aayi hu ab toh aadat si par gai hai in kapro ki..”aaradhya ki fikki muskan bahut kuch uske dard ko bya kar rai te..
Geeta kuch na bol pai..par priya ne apna dupatta aardhya k galle me dal diya ..
“Ye toh rakh hi sakti hai di..”aaradhya ka mann gad gad ho gaya bahan ka ye sneh pa kar..
Par samai kafi ho chala ta..toh aaradhya ko ab nikalna b ta..
“Chachi mujhe ab jana hoga..kafi deer ho gai hai..”..sab b jante te rokna chahe to b abi mumkin nai
“Sanju kab tak aayega chachi kuch ..pata hai..”
“Abhi nai pata kuch beti ..mobile band hai uska..”..aaradhya ko aakhri aas b dhumill parti najar aa rahi ti aankhe chalchala aaye…
“Dadi ne aaradhya ko galle se laga dadhas diya..”himmat se kam lo beta …”
“Bara muskil hai dadi …kaise mai kar paungi..ye sab..”
“Kya kahe beta…”dadi
“Thik hai dadi chalti hu…”
Aaradhya darwaje k traf badhi…achanak se tej hawaye bahne lagii..sab samajh gai ki aaisa kyu ho raha hai..na samjhi toh bas aaradhya jo abhi b aasu pochte badhi chali ja rai ti..
“Apni maa se nai millogi beti..”aaradhya k badhte kadam tham gai..
Kanno p yakin nai huwa palat kar dekhti hai toh uski maa samnee aankho me aasu liye khari ti..unhone baho ko failla kar beti ko apni orr bulaya..
Aaradhya daur kar maa se ja lipti…dono maa beti ek dusree se liptee apnne dill ka dard aasuo k sahare halka kar lena chahte tee..iss ghari ka kitne saal tak dono ne bechaini me intjaar kiya ta..
“Chup chup ho ja meri bachi rotee nai..mai hu na ..”
“Maa aap ko toh sab pata ta na fir kyu nai aai mujhse milne…kabhi aapka man nai kiya mujhe galle lagane ka..kitna tarpi hu mai aapke liye..”
Aaradhyak dill ka dard nikal para..
“Mere liye b ye bhut muskil ta beta mai kitna tarpi hu ye mai hi janti hu..mere toh dono jahan bas tu hi hai..chup rote nai..”
“Kaise chup Rahu maa kaise ..kaise karungi mai vo sab apni hi maa k khilaf aap toh rok sakti hai na fir rokti kyu nnai…l”
“Agar rok sakti toh kabka rok leti pagli ..par kaise karu mai apnne beti k jan ki dushman kaise ban jau ..bol beta..”
“Par kaise karungi maa ..aap mujhe mar daliye par ye mai nai kar paungi…maa nai kar paungi..”
Unhone aaradhya ko alag kar uske aasu pochee..”aaisa kuch b nai hoga beta apnne bhai p bharosa rakho..vo aaisa nai honne dega ..bas tum khud ko sambhalo…”
“Maa sab kuch thik ho jaiega na…”
“Ha beta…khud ko sant rakho dhiraj se kam lo muskilo se ghbrate nai uska samna karte hai…jaise tera bhai aaj kar raha hai vaise tmhe b karna hai ..ab sant ho kar jaooo….”
Aaradhya ka mann maa se milkar bhut had tak sant huwa…
Firr maa aur baki sab se bida le vo vaha se chal

