Samiya Ami ha waqi Reda Far tumhari bari sis he lugti hay bura mut mana bhai sahab un kay husband say zyada sasur lugtay hay kun Joni wo muskuratay huway boli
Main ahista bola kahi wo sun na lay Reda or Junad humari baat pay hus paray thay pher hun un kay sath hi aak turaf ja kay baath gay thay main Juned kay sath betha tha jaha un kay family kay mazeed lurkay bathay thay Junad nay ub sub say mera taruf kuraya or koi bhi yea manay ko tayar na tha kay main Junad ke Ami ke sahali ka soher hun aak lurka ju zara chulbula tha bola aap ke wife kun si hay wo zara bari umer ke aurto ko dekhtay huway bola main nay muskura kay Samiya ke taraf esara kurtay huway kaha wo rahi green dress main or wo sub Samiya ko dekh kay haran thay pher aak zara chubula say bola acha ager wo aap ke wife hay tu un yaha bulay mujh ko yaqeen nahi nahi bulkay hum ko yaqeen nahi huta
Main muskura kay bola chalo theek hay or pher Samiya ko pukara bagum bhi bagum zara yaha aana or Samiya jee kay kah kay maray pass aagai or boli
Samiya Ami jee kahay kya baat hay wo sub hi moun pharay harut say hum ko dekh rahay thay main nay kaha
Main bhi yea buchay yaqeen nahi kur rahay thay kay tum mari bivi hu ab khud hi bata do main sakoon say bola
Samiya Ami muskura kay yea maray soher hay aap may say kes ko kya eytaraz hay aak lurka bola
Lurka nahi eytaraz tu kisi ko nahi asal main yaqeen manay kay aap ko dekh kay kisi surat nahi lugta kay aap Aunti kee sahali hay un kay sath parhi hay
Main choro yaar kis chuker main phus gaiy enjoy karo yaar main nay husstay huway kaha or Samiya ko pher lurkeya apnay sath lau gai main aak chair pay aakay bath gaya Farheen ka aak bhanja zara hechkechata maray pass aaya or maray sath bath kay bola Jahanzeeb Bhai mari baat ka bura nahi manyea ga lakin kya waqi Samiya Baji Khala ke sahali hay collage kay zumanay say or aap in kay soher ho
Main aak gahri sanse latay huway yaar ab main tum ko kya stamp paper pay likh kay dun
Bhanja kuch hustay huway surmendagi say nahi nahi iyse koi baat nahi wo tu main wasay aap kay ketnay buchay hay
Main 4 or 5wa euglay saal hu ga main sakoon say bola
Bhanja kuch mazeed harut say ketni umer hu gi wo bolay main nay us ko zara gore say dekha or bola
Main tumharay hi age group kay hun gay wo jasay mari baat pay uchal gaya or harut say moun pharay kabhi mujh ko kabhi zara faslay pay bathi Samiya ko dekh raha tha pher wo kuch bolay bena khamosi say uth kay waha say chula gaya mujh ko ab wasay bara maza aaraha tha pher Larkay walay bhi aagay pendal bhur gaya tha main khamosi say apni jugah hi batha raha Samiya dholki walay larkeyo kay gurap main bath gai thi or ganay suru huway main nay apnay cameray us ke ganay gatay huway khenchi wo mujh ko dekh kay or dilnasi undaz may pose day rahi thi or main nay us ke kai tasveray li wahi bathi aak or larki zara etra kay boli
Larki janab photographer sahab yaha or bhi log bathay hay zara aankhay tu kholay
Main musskura kay bhai hungay lakin kya kuray hunari aankhay tu apni bagum kay sewa kisi or pay jati hi nahi mari baat pay aak zordar qahqaha luga or Samiya ko sub charnay lagi wo bhi jhaap gai thi main waha say utha gaya dusri taraf kay group say un ka zordar muqabla chul para tha Samiya bara khul kay enjoy ker rahi thi or sub say zordar awaz main ganay ga rahi thi wo kisi surat 4 bachoo ke maa lug hi nahi rahi thi wo tu 20 saal ke ularh hassena lug rahi thi dusri party kay kai lurkay musal sal us ko line kura rahay thay wo un sub say bay neyaz apni sathi lerkeyo kay sath gano kay muqablay main jasay puri turha say goum thi ganu ka muqabla khatamhuwa kuch daer baad wo pasenay may bhegi huwi maray pass aakay bathi us ka sanse buri turha say chul raha tha main nay muskura thay huway us kay kandhay pay haath rukh kay us ko apnay say laga leya mari sarni ka kya haal hay puray group may tum hi tum dekh rahi thi
Samiya Ami sukreya maray surtaj aap ke muhabat ka wo bari eda say boli muskura kay
Main acha tum batho main tum ko pani lay aawun
Samiya ha please paqni thunda hu tu maza aajay wo boli or apnay paayr kursi pay kesi 18 saal ke nukhaz larki ke turha rukh kay payroo ke ungleya chutkhatay huway boli us ke en edawoo ko dekh kay main khud bhi hayran tha kay kya juban aaya hay us pay main samnay us hisay main gaya jaha khanay ka entezaam keya huwa tha waha rukhay aak water tank say main nay pani ka glass bhura or khud peya itnay main aak nujawan waha aaya
Hello mara name nabeel hay aap ka mane wo haath mari taraf burhatay huway bola
Main nay us say haath melatay huway kaha Jahnzeeb aap say mil kay khusi huwi
Nabeel Jahanzeeb sahab aap say sedhi such baat kahun tu mujh ko aap ke sis bohut achi lagi mainapna karobar kurta hun or un say shadi kuna cahta hun wasay mari sis bhi aap main bohut intrusted hay
Main nay khamosi say muskuratay huway glass bhara or pher pucha aap mari kis sis ke baat kur rahay hay main sakoon say bola
Nabeel wo ju green ghagra souit main aap kay sath waha bathi hay wo sakoon say bolay
Main aak gahri sanses lay kay muskuraya or us ko kaha aay chalay yea baat aap khud us say bool day or main us kay saath dubara Samiya kay pass aagaya wo maray haath say glass lay kay muskurati huwi nazroo say mujh ko dekhtay huway boli thanks my janu main zara muskura deya or Nabeel ko dekhtay huway bola ji tu ju aap nay mujh say kaha wo aap in say khud bool day
Samiya Ami harut say mujh ko or Nabeel ko dekhtay huway boli kya baat hay
Nabeel mera naam Nabeel hay main karobar kurta hu or aap mujh ko bohut pasand aay hay aap say shadi kurna cahta hun or yea baat aap kay bhaisahab say bhi kahi thi tu yea yaha lay aay kay khud aap say kahun
Samiya Ami mujh ko dekh kay us ko dekh kay or pher hum dono aak zordar qahqahay kay sath huss paray pher Samiya khud ko sumbhaltay huway boli mujh say sunya ji aap nay is buchay say nahi kaha kay is kee umer kay buraber tu humari bari bati hay or maray bazoo ko paker kay pher huss di wo harut say hum ko aankhay pharay dekh raha tha itnay main Junad waha aagaya jub us ko baat ka pata chala tu wo hussta huwa Nabeel ko waha say lay gaya wo bechara Nabeel buri turha jhaap gaya tha main dubara us kay pass bath gaya hum is suratay haal pay aapus main muzay lay rahay thay itnay main dulhan or dulha ko stage pay bethaya gaya dono kay leya chotay chotay elahda stage bunay thay hum wo dekh rahay thay pher jub rusmain suru huwi tu Samiya uth kay stage pay chali gai main bhi stage kay qareeb khura tha or Samiya ke tasveray khanch raha tha jub wo sath suhagano wali rusam kurnay aagay aai tu aak lurka duha ke taraf ka bola hello miss yea rusam shadi shuda aurtay kurti hay
Samiya Ami muskuratay huwa Beta mara beta aap ke umer ka hi hay kun ji main theek kah rahi hun na wo mur kay mujh ko dekhtay huway boli
Main belkul durust bagum or kafi saray logo ko is baat pay bohut harut huwi khar pher Rusmo kay baad Dance ka dur chala Samiya maray pass aai or boli
Samiya Janu aap ko maray sath dance kurna hu ga
Main ju mari rouh ka hukam hu mana kis nay keya hay
Itnay main aak larki humaray pass aai or boli Samiya say Baji bus larka walo kay is dance kay baad aap nay aana hay
Samiya chalo theek hay aap chalo main aati hun wo mara haath pukertay huway boli samnay larkay walo ke taraf say aak doo larkeya dance kur rahi

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.