Main chalo yaar khana ley kay aay or wo hulkay say muskuratay huway chul pari rustay main main nay Qayyunm ko call ke or us kaha kay mari Khala ke tabyat kharab hay main un kay sath hospital main hun wo maray leya notes lay lay or edhar udher ke baatay kur kay call cut kur di pher sub kay leya khana or juice lay kay hun wapis pohuchay sath hi main nay plastic kay burtan bhi lay leya thay in sub main hum ko qareeb 1 ghunta lug gaya tha wapsi pay pata chula kay Rubya Khala bhi hose main aachuki hay or mazay ke baat thi kay wo gher walo ko pahcan bhi gai thi un ko mazeed kisi nay kuch nahi pucha tha abhi wo dusray muslo main hi ghri huwi thi wo bhi Shama kay hi room may aakay bathi huwi thi main nay or Sumbul baji nay khana table pay hi lugwaya Shama ko khana us kay bed pay hi daydeya gaya tha main nay khana bhi suru nahi keya tha kay Shumaila ke call aagay main uth gaya us ko lenay kay leya jana tha
Dadajaan kaha kay iyraday hay wo bolay
Main wo Shumaila ko lay aawu wo intezar kur rahi hay main nay jawab deya
Shama kuch tajasus say yea Shumaila kun hay
Ami sakoon say Joni ke bivi wo aaram say boli
Shama jee kya mutlab wo harut say zyada jasay sudmay say boli hu
Main mutlab my wife mari bivi ok pher miltay hay kuch daer kay baad or sub ko salam kurtay huway bahir chala gaya sedha Shumaila kay collage pohcha wo bhi jasay intazar main hi thi furan bhagtay huway aakay maray sath baath gai main us ka khusi say surkh cahra setaro si jugmug kurti aankhay dekh kay tu us pay feda hi hugaya
Main love you jaan din bohut bura jar aha tha tumharay bina tum ko dekha tu din bhi hassen hugaya may nay us kay haath ko chomtay huway kaha
Shumaila aap nay tu maray moun ke baat cheen li wo maray kundhay say sir tika kay boli main nay car aagay burha di yea hum kaha ja rahay hay jaan wo rustay ke turaf dekhtay huway kuch harut say boli
Main ——-hospital ja rahay hay main nay jawab deya
Shumaila kun kharyat kya huwa kon hay hospital main wo paraysani say boli
Main jaan sub khareyat hay or mukhtasir us ko sub baat bata di mari baat khatam hunay tuk hum Hospital pohuch chukay thay wo bari gahri soch main dobi huwi thi
Main nay us ko panay say laga kay us kay sir pay choma or kaha mari jaan kiss soch main dobi huwi hay kya baat hay
Shumaila jaan patanahi kun lakin mujh ko nahi lugta kay wo Arsad Shama ka pecha aysay aasani say chor day us naiy kuch na kuch iysa stuff tu tayar keya huga jis kay zoor pay wo is ko black mail kursukay apnay istemal kay leya
Main us ke turaf dekh kay muskura deya or baysakta bola tum ko pata hay kya tum maray leya hi bani hu or main tumharay leya hi mari ketni bhi biviya hun lakin ju baat tum may hay ko kisi main nahi kuch baato main tu tum nay Ami ko bhi pechay chore deya hay main soch hi nahi sukta tumharay bina jenay kay baray may main nay us kay haath ko choom liya wo khel khela hussdi or boli
Shumaila aaj main hurturha say aap ke hu gai ab mujh ko kisi ke purwa nahi mara Soher maray sir ka taaj aaj mujh ko milgaya humasa humasa kay leya bus jaan aagay aanay walay waqt main halat kuch bhi hu cahay aap kay samnay haqeequt kuch bhi hu aap sir itna zahun main rukhna kay is Shumaila kee booti botti kaat kay cahay koi kuttuo ko khela day cahay mari jaan lay lay lakin kabhi bhi mujh ko aap say juda nahi kursukta mujh ko aap say baywafai pay nahi utar sukta mara jisam mitt tu sukta hay lakin aap kay elawa koi or is kee hawa ko bhi nahi chusukta main nay burh kay us ko apni bahoo mai lay leya or us kay maathay ko choom kay kaha
Main or main kabhi baher ke kisi bhi surd garam hawa ko bhi tumharay wajud ko chunay nahi du ga mari jaan pher hum nechay utray wo aak dum boli
Shumaila iysay nahi chalay pahlay phool latay hay
Main muskura kay chalo jasay aap ke murzi or hum hospital kay qareeb hi aak flower shop pohuch gay or aak bara guldusta bunwa kay pher hospital pohuch gay hum jub Shama kay room may pohchay tu waha koi baat chulrahi thi khandan kay baray main Shumaila nay sub ko salam keya Rubya Khala say mili pher Sumbulbaji say or pher Shama ko gulduta day kay us say mili or baray mohabat say us ka haal pucha apna taruf karaya or us say baatay kurnay lagi main
Dadajaan kay paas hi baath gaya tha
Dadajaan beta tumdono nay kuch khaya peya hay kay nahi
Main nahi abhi tu nahi kuch baer main hum khana khanay jay gay
Zeenut main bhi jawungi aap kay sath main nay muskura kay sir hilaya itnay main Sumbul baji ka mob baja dusri taraf un ka boss tha
Sumbul Baji paraysani main boli sir main nay aak saal baad aaj pahli chuti ke hay mari mother ke tabyat kharab hay un kay sath hospital main hu wo lajajut say boli pher dusri taraf ke baat sun kay boli sir please kuch tu khayal kuray main nay aysay ka guna keya hay jo aap yea kah rahay hay Dadajaan nay khamosi say mob un kay haath say lay kay dusri taraf ke baat suni or pher wo baray sukht lahjay main bolay
Dadajaan apni zabaan sumbhakl kay baat kur kutay tujh ko pata hay tu kis ke nawasi say baat kur raha hay pher kuch sun kay dubara sukhti say wasay hi bolay Sumbul kul say puray 3 monthes ke chuteyo pay hay us ke leave tujh tuk approve hu kay aay gi or mara wada hay tujh say kul say tu apnay office janay say pahlay mari hawali aay ga mujh ko salam kurnay pher office jay ga wurna tara chuprasi taray office ka durwaza tujh pay nahi khulay ga yea wada tujh say Khan Rosan Khan ka hay tayari kur lay subha juldi utnay ke kun kay mari hawali pay salam ka waqt subha 8 say 9 kay durmeyan huta hay sumjhay or ha ab mari buchi ko gulti say bhi dubara call mut kurna or call cut kurdi sath hi wo Sumbul ko dekhtay huway bolay betya tum abhi mujh ko aak paper pay likh kay do 3 mahenay ke leave wo bolay
Sumbul Babji Nanajee mari job chali jay gi wo bohut sukht hay pher gher kasay chalay ga
Dadajaan kya kaha beti ab us ke fiker kurna tumhara musla nahi main janta hun apni bati or us kay bacheyo ko kasay palna hay ager sirf yea waja hay tu nokri choro or aaram say batho gher main ager aagay purna cahoo tu wo kur lo rupay pasay ka koi musla nahi hay
Sumbul Baji Nanajaan wo mara suq bhi hay wo boli
Dadajaan theek hay 3 mahenay ke chute likh kay do mujh ko baki main khud dekhta hun or is feroon kay buchay tumharay boss ko bhi pher unho nay kuch soch kay aak # melaya or dusri taraf say call uthanay pay salaam duwa kay baad bolay Yaar mari nawasi Sumbul Raza tumharay wazarut kay aak mahakmay —— main job kurti hay us ka designation ——– hay us ka boss hay aak Mateen Ahad kay name ka bara firun aadmi hay wo aaj mari bati ke tabyat kharab thi wo us ko hospital lai hay tu wo us pay cheek chela raha hay batamizi kur raha hay bachi ko nokry say nikalnay ke baat kur raha hay pher wo rukay or dusri taraf ke baat suntay rahay pher bolay main tum ko bachi ke chute ke application bhej raha hun wo dekhlo kul say wo office nahi ja rahi 3 mahenay tuk theek or ha is affser ko bata do kay us nay office kis rustay say jana hay wo sakkon say bolay dusri taraf ke baat sun kay huss deya pher huh u hu he kurtay rahay or pher bolay tu kya huwa is main kya musla hay main dekh lun ga aglay mahenay Islamabad aaraha hun sath hi chulay gay is main kya musla hay wo sakoon say bolay pher utha kay aak side pay chalay gay Sumbul Baji aankhay pharay pharay dadajani ko dekh rahi thi
Main Baji aap application likhay baki sub choray Shumi apna wrighting paid do Baji ko or pan bhi Shumaila nay aak paid or pan baji ko deya unho nay khamosi say lekhna suru kerdeya main Nani wagyra say baatay kur raha tha kuch daer baad Dadajaan aakay baath gay Sumbul Baji nay application un ko day di dadaji nay us pay aak # likha or apnay singh keya us kay nechay or mujh ko datay huway kaha is ko fax kurday is # number pay main nay durkhast li or bahir aagaya fax kur kay wapis aaya dadajaan nay furan hi dubara mujh ko lay kay bahir aagay or kaha
Dadajani tum Irfan kay sath ab niklo or us Arsad ko qaboo karoo us say sub kuch nekalwao Irfam bunday lay kay puhach raha hay tum yaha say sedha is add pay jawoo waha say 4 log tumharay sath aagay jay gay un ko lay kay Irfan ko call kurna wasay tum is may serf observer kay tur pay shamil hu gay jub tuk tum say kisi cheez ka kaha na jay tum khud say kuch na karu gay o4r na hi pakray janay walo say khud say koi sawal pucho gay baki main dekhta hu jawo unho nay mari peth thapthapatay huway kaha or main salam kur kay un ke dwai lay kay tazi say deya huway add ke turaf chulpara yea mari zindagi ka iysa pehla kaam tha main kafi purjose tha or such kahu tu kafi fikermund bhi main car ko jasay urata huwa deya huway Add pay puhach gaya or dadajaan ke hidayat kay mutabik gate ke bell 3 baar wukfay wukfay say bajai under say aak admi nikla pahlay or gate pay aakay bola
Admi aap ko kis nay bell bujanay ka kaha tha
Main naysakoon say jawab deya mara dil sakoon say bell denay ko cahraha tha Roshan ke turha yea elfaz Dadajaan nay aakhri main bolay thay wo bunda muskura kay bola
Admi car ko ghuma kay rukh sarak ketaruf karo or reverse may car under lay aawo durwazay khulay rukhna
Main nay us kay kahnay kay mutabik keya or car under lay aaya car kay ruktay hi durwazay khulay or 4 aadmi khamosi say under aakay baith gay or main nay bena rukay or kuch puchay car aagay burha di mari sath wali seat pay bathay admi nay kaha Gulbarg main nay car ka rukh us turaf kurdeya is duran dusra aadmi bolay
Admi do you have any matel
Main yes I have in desh bord
Admi good take off our safty may be you have tu use it
Main I never safty my wapen
Maray jawab kay baad car main khamosi cha gai maray sath betha huwa aadmi mujh ko rusta butaanay luga jub hun gulbarg phuchay or kuch hi daer main hum aak kothi kay qareeb ja kay ruk gay us kay sath hi us nay apnay mob say aak call ke or serf itna kaha
Admi we are in contact or dusrituraf ke baat sun kay line cut kurdi or mujh say kaha Irfan sahab ko call kur lo main yea batana bhool gaya kay pahlay us nay hi mana keya tha call kay leya pher do black colour ke Land Crusers tazi say aagay gai un kay aagay jatay hi us aadmi nay mujh ko kaha
Admi Watch our Back and take shot if you feel some heat stay here we call you is kay sath hi wo sub tazi say uter kay Kothi ke dewar ko tazi say taaptay huway under chalay gay kuch lumho baad under say hulki phulki awazay aay pher kuch daer or guzri or us aadmi nay mujh ko call kur kay under aanay ko kaha car kay sath is say pahlay main nay Cahchajaan ko call ketu unho nay jawab may serf ok kah kay call cut kurdi thi main car ko under lay gaya kothi ka gate khula tha maray under aatay hi gate bund hugaya main apna Pistel lay kay under dakhil hunay laga tu aak admi nay aagay burh kay mujh ko aak naqab deya main nay khamosi say wo pahan leya maray puray jisam may jasay sunsani si dour rahi thi us waqt main jub under living room may puhcha tu samnay Arsad or Qayyum ko dekh kay mujh ko jhutka sa laga lakin mai belkul khamos raha un ke halut bata rahi thi kay wo rungralyo main say khanchay gay thay maray sath car main aagay bethay walay Admi nay baat kurna suru keya

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.