wo belkul mary Ami ke jawani ke copy thi yani mary Ami ke umer ko pechay lay jawo tu un ke shadi say pahlay kay zamanay may tu same wo us lurki wasay he thi mara demaz jasay chukra kay rah gaya
Larki duray sahmay say undaz may aaaa aaiaa am sorry ww mmmmara aaj pahla din hay is collage may or wo mara pasoon ka butwa bhi nahi mil raha hay wo hulka hulka sa kamptay huway uthi
Main aak or jhutka us ke awaz bohut hud tuk Ami say milty thi may nay forum khud ko sambhala or kaha ok ok koi musla nahi hay aap aaram say bathay may nay us kay kandhay pay haath rukh kay kaha
Or us kay sath he baath gaya
Main mara name Jahanzaab hay Jahanzeeb Khan or aap may nay apna haath us ke turaf burhaty huway kaha
Larki nay maray haath ko dekha pher mujh ko dekha or hulkay say apna nazuk sa haath maray haath may day kay boli mara name Shama hay may nay aaj he collage join keya hay hum pechlay mahenay he aap kay saher may shift huway hay wo kuch sumbhalty huway boli
Main yea tu bohut achi baat hay welcome in Lahore wasay aap abhi kuch dhoond rahi thi sayad aap ka butwa is shoper may may nay pucha
Shama ji ji ha wo maray chota purse nahi mil raha tha kahi ger na gaya ho aaj subha gher say aaty huway sayad bus may wo boli us kay cahra ke masumyat is bay wo ghubrahut ke lali wo paray shani jasay mara dil khud ba khud apni turaf khench rahi thi
Main tu kitnay pasay thay us may may nay pucha
Shama puray week ka jaab khurch tha ab gher pay aapa say alag daant paray gi or maaji say alag collage ka pahla din he kafi bhary purgaya wo jasay sur pakertay huway boli
Main oh yea tu bohut bura huwa may aagay kuch bolta itnay may teacher class may aagay attandence kay duran aakher may Shama ka name aaya wo yes boli tu teacher nay us ke turaf dekh kay sub say us ka intro kurwaya or pher mujh ko dekhtay huway bolay aap in ke help kurdejiya ga purhai or Shama say bolay aap ko jo notes wagyra caheya hun wo aap jahazeeb say lay legya ga yea kafi achay student hay class ke pher wo lacture may lug gay class kay baad aglay 2 periad aaj free thay may nay apni chezay sumbhali or Shama ko dekha wo apna bura sa shoper leya wahi bathi thi may nay apna bag utha kay kundhay pay dala or khura hugaya sath he us ko bhi kaha
May chalay cul kay canteen may kuch khatay petay hay
Shama lakin maray pass tu pasay nahi hay gher janay kay bhi sayad muskel say hu wo jasay bay ikteyar he bool gai
Main muskura deya or agay burh kay us ka haath pakertay huway kaha may ju hunt u aap kun ghbraty hoo chalo chalay may nay sakun say kaha or us ko sath letay huway canteen may aagaya us kay cahray pay jasay surmindagi ke surkhi phaly thi wo us shoper ko mazboty say pakry huway thi may nay ghari dakhi qareeb 10:30 ka time tha may nay aak dum say kaha chalo kahi baher chultay hay chai bhi peya gay or is shoper ka bhi kuch bundobust kurtay hay
Shama dekhay Jahanzeeb sahab yea yea humary pahly mulaqat hay aaj or iysay aap kay sath bahr jana kuch ajeeb lug raha hay may aap ko janty bhi nai
Main aak baat tu batawoo Shama kya aap ko khud pay bhrosa hay
Shama ha ha bilkul hay mukamel toor pay wo forum boli
Main tu pher mujh say durnay ke koi wajha baki nahi rahty or wasay bhi aanaywalay puray saal hum nay saath saath he purna hay rahna hay or hu saka tu us kay baad bhi hum aakhtay he rahay gay Uni may so be brave may aap ka bohut acha dost hu yea baat aaj aap khud jan jawu gi ab chalo juldi baki kay sub he period free hay or mujh ko aaj lazmi time pay apnay sub bahen bhayo ko pick kurna hay so please wo mujh ko bari gahri nazroo say dekh rahi thi mari baat pay hulka sa muskurai or pher khamosi say serf sir hela kay maray sath chul pari hum gari may baath kay baher aagay sub say pahlay tu may us ko aak bag ke shope pay ley gaya hum sub yaha say he bag latay thay Abu kay aak dost ke shope thi wo us waqt nahi thay un kay salesman thay aak acha bara sa sa bag or aak btwa leya or pay kur kay baher aagay baher gari may baath kay may nay bag khool kay Shama ke turaf burhaya
Main lo bhai aaj say tum apni sary chezay is bag may rukhna is shooper may nahi sub mazak uratay hay or wasay bhi aap chotay buchay tu nahi rahay kay kaysay bhi chuljay ga
Shama ha wo may nay aaj sucha tha lakin yea tu bohut mahnga hay or dusra aak baat tu batai kay may apni aapa or maaji say kya bolun gi yea tu maray puray week kay jaab khurach say bhi zayada manhga hay wo kuch sochtay huway boli
Main simple yaar kah dena kay Secind hand leya hay kismut say dhari say saaf milgaya may nay sakun say kaha
Shama mary aapa dunda utha lay gi is jhut pay wo boli
Main kuch soch nay kay baad may nay aak marker nekala or bag pay kuch mukhtalif jumlay aak jugha dil baha kay S+J likha or aak turaf apna mobil# likha or bag us ke turaf burha deya ok ab lugta hay 2nd heand kay nahi may muskura deya
Shama bhi muskura di wo tu theek hay lakin yea # kis ka hay wo boli
Main mara simple or kis ka may nay jawab deya
Shama kis leya
Main bhi is leya kay ager aap ko koi musla hu perhai wagyra may too call pay baat hu sukay aap ko prob na hu is leya may nay sakun say kaha
Shama mary turaf dekhtay huway huss di lakin us kay leya maray pass bhi tu mobile huna caheya na wo boli
Main tu kya aap kay pass mobile nahi hay may nay pucha
Shama hay lakin kharab hu gaya hay aaj us ko bhi thek kurwana tha lakin wo jasay boltay boltay thandi sanse lay kay chup hu gai
Main nay hustay huway gari start ke or apnay aak dost ke mobile shop pay layja kay ruka aawo aap kay yea prob bhi hul hujai dukan pay mara dost he batha tha wo aaj collage nahi aaya tha mujh ko dekh kay
Wajahut khar tu hay Jahanzeeb anti kay sath wo bola
Main huss deya bhai yea wo nahi hay yea Shama hay humaray collage may nai aai hay aaj pahla din hay may nay taruf kurwaya
Wajahut oh I am sorry yaar wo mujh ko gulti lugi wo muskura kay bola
Main nay us ko Shama ka mobile detay huway kaha yea kharab hay kuch ho sukta hay
Wajahut ha aak kaam sim nikal kay pheke do china ka hay repair nahi hu ga wo sakun say bola
Main nay Shama ko dekha wo khamosi say mobile ko dekh rahi thi kuch tu karay dekhay shayad chuljai may nay bary arman say khareeda tha poray saal pasay bachay thay wo jasay roo hi pari thi main nay us kay kandhay pay haath rukhtay huway kaha saber saber kuch na kuch hu jata hay paray saan na hupher Wajahut say kaha koi nai para hay same model ka
Wajahut kuch sochta raha tum nokia kay ley lo same designe ka hay wo kuch sochtay huway bola
Main thek hay is ka humsakel nikal day or us may sim laga day or is ka deta us may shift kursukta ho
Wajahut dekhta hun us nay kaha
Main yaar tu is ko thora charge wagyra kurlay hum loge itnay may kuch kha pee kay aatay hay may nay kaha or Shama ko lay kay aak qareeb kay coffey shope may ley gaya khali he pary thi hum aak side pay baath gay may nay coffey or kuch snackes mungwai or pher Shama ko dekha wo kisi soch may gum thi
Main aap kaha khoo gi Shama saheba may nay sakun say kaha or kuch apnay baray may bhi batai ager bura na manay tu may nay muskura kay kaha
Shama kujh ko dekhti rahi gahri nazer say pher kuch sochtay huway apnay gher walo kay baray may batana suru kurdeya
Us nay jo bataya us kay mutabiq us kay walid ka 10 burass huwai inteqal hu chukka hay wo on job death huwi thi is leya un ke jugha us ke aapa Sumbul ko apnay abu ke jugha job mil gai un ke walda gher pay selai kurhai ka kaam kurti us kay elawa us kay teen bahnay or aak sub say chota bhai hay jo School may purta hay us ke aapa ke umer 33 saal hu chuki hay or usnay apnay chotay behan bhaio kay leya shadi nahi ke thi yaha is Saher may us ke aapa ka transfer huwa tha is leya wo yaha shift hu gay us ke bari bahen kay baad us ke aak or bahen thi jis ke shadi 3 saal pahlay huwi thi yaha bhi wo loge surkari gher may he rahtay thay wo khud bachoo ko purha kay apna kuch jab khurch chala rahi thi
Main nay us ko muskura kay dekha or kaha fekur na karu sub thekk hu jay ga chaloo ab chultay hay may nay kaha or hun waha say baher aagay may nay khamosi say us kay bag may 2000 daal deya mobile kuch charge bhi hu gaya tha or mobile ke charger or dusri chezay aap shoper may dall kay Wajahut nay hum ko day di may nay mobile lay kay us pay apna # dile keya balance nahi tha may nay us may kuch balance loud kurwaya jis ka sun kay Shama ka moun khulay ka khula rah gaya pher hum us ka thanks boltay huway baher aagay gari may aakay bathay wo mobile ka duba or dusri chezay bage may rukh rahi thi pasoo pay nazer purtay he jasay wo chook se gai
Shama yea kya hay wo note samnay kurtay huway boli
Main lugtay to note he hay may nay sakun say jawab deya
Shama Jahazeeb dekhay may gareeb zarur hu lakin may koi iysi wasy lurki nahi hun aap galat sumjh rahay hay may aap ko her cheez kay pasay wapis kurdungi lakin iysay pasay may kasay lay sukti hun
Main hello medam nuber aak dosto kay hesab yaha nahi yaha hutay hay may nay aap ko dost kaha hay or aak dost ke muskel waqt may thek say mudad kurna hi dosty hay jo may nay ke ha in pasoo ke story mujh ko bhi nahi pata or may bhi koi iysa wasalurka nahi hun sumjhi aap say ager sahi say mara dil mil gaya tu may shadi tu kursukta hun lakin shadi ka ya muhabat ka jhansa day kay ya pasay ka luskara dekha kay aap kay jisam say apni hawas nahi puri kur sukta mujh ko apnay baap dada ka name pata hay apni guzry 7 pusto ko janta hun may nay jawab deya zara sukht lahgay may or ha aap kay mobile may may nay apna # is leya dail keya tha kay mujh ko pata chuljai kay aap kay pass balance ketna hay may nay apnay # ko redial nahi keya tumhara dil cahay tu dial kurlay na may nay sakun say bola wo kafy Impress lug rahi thi mujh say Boli jasay apni gulti durust kur rahi hoo
Shama dekho yaar may wo baat nahi kah rahi aakher pahlay yea bag pher mob pher loud or ab yea aap khud dekho na aaj kul log kya kya kurtay hay mara ghubrana jaaeiz hay na aap iysay nahi ho abhi tu may yea bhi nahi janti so please mujh ko maaf kurday ager koi gulti hugai hoo naraz nah un wo lajajut say boli
Main upper say gusa kurtay huway jasy ruthay ruthay kaha ha ha bhi tum larkeyo ke he tu izat huti hay na dil hota hay na hum tu bayhis hotay hay kay jub chaho iysay wasay ilzaam laga do note tumharay bag say niklay or ilzam mujh pay wah jawo may bhi ab baat nahi kurta may nay wind screen say baher dekhtay huway kaha wo mari turaf bohut daer tuk dekhti rahi or pher kuch soch kay mary turaf haath burhaty huway kaha
Shama hello mara name shama hay mujh say dosti karoo gay humasa humasa kay leya or aak hassen se muskurahut us kay cahray pay jasay muchal rahi thi.

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.